Urdu Questions

Napaak kapre ku saaf karna

Q: Me ye janna chahta hu key napaak kapre nichorne ke waqt kya hath napaak ho jati he ke nahi? Our kapre se napaaki door karne ke liye, kapre ko nichorne ke waqt kapre me pani ka cheenta dene ke liye mug ko hath lagaane se kya mug napaak hoga? Our kapre ko ghusal khaane ke jis jagah par nichora gaya os jagah kya napaak hojayege? Agar hoti hai toh phir kapre paak hoge ke nahi? Agar nahi hote he to kapre ko nichorne ke bad, kisi baalti me paani lekar baalti me kapre ko dubana parega kya? Agar kapre ko baalti ke pani me dubaana parega to ek baar pani me duba dene se kya paak ho jayega? Aur wo balti paak rahegi kya? Our ek baar agar kapre ko nichora gaya jagah napak ho jati hai to os jagah ko kaise paak karna parega? Kapre ko paak karne ka aur koi tariqa hai kya?

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai hamesha khwab me gai (cow) dekhta hoon qu​rbaani ke liye. Bohat dino se dekh raha hoon kabhi safed ghai kabhi dusri rang ki gai kabhi moti gai kabhi choti gai khwab din mai bhi ata hai aur raat me bhi.

Talaaq shuda showhar ke saat talluq

Q:

1) Kiya ek aurat apne talaq shuda soher ke saat dosti rakh sakthi hai ya baat chit kar sakthey hai.

2) Kiya talaq k baat dono ek dusrey k liye mehram hai ya na mehram.

3) Ek aurat apne soher k bagair ijazat koi gair mehram se baat kar sakthi hai.

4) Ek talaq shuda aurat apne talaq shuda soher sey akela me mulaquat kar sakthi hai. Ya akelay ya apni behan k sath ja kar mulaqat kar sakthi hai. Yeh jayez hai ya haram hai.

5) Ager vo admi se koi aulad hai or vo apni aulad ko kuch madad karna chaheta hai to kiya aurat jab k vo kisi or k nikah mai hai apne pehlay marad se akelay mai mulaqat kar sakthi hai. Yah aurat ka farz hai ki vo apne mojuda sohar ko or uske bhai ya baap ko vakil bana ke beach mey rakh kar maumla kare.

6) Kiya yeh koi mard ko gawara ho ga ke uski biwi apne pehlay mard ko apney ghar ya apni behan k ghar bula kar sirf aurtey baat kare.

7) Jab ke talaq k baad vo aap ka mehram nahi hai kiya vo aurat uske saath mauj masti ya sair sapate k liye ja sakthi hai. Is rishte ko islam mey kiya halal keha gaiya ya haram.

8) Ek aurat jo k apney teesri husband ke saat zindagi guzar rahi hai. Kiya vo apney pehlay sohar se financial madad talab kar sakthi hai ya pehla sohar usko dena chaiye to kiya yeh aurat ley sakthi hai jub k uske mujada sohar ko ateraz hai. Or pehlay sohar se ko Aulad nahi hai.

9) Kiya aurat apney teesri husband k hote hue apney passport par pehlay sohar k naam se renewal kar sakthi ya nahi. Renewal ke form par signature karna padta hai accept karna pada hai ke aap is admi ki biwi hai. Yeh karne se mojada sohar par kiya asar padega. Is ki sharai hasiyat bataiye. Banda aap ke jawab ka muntazir hai.

Ghusal khaane me kapre dhowna

Q: Me ye janna chahta hu ke aksar har waqt ghusal khaane ke jis jagah par napaak kapra rakh kar nichora jata he wo jagah kya napaak ho jati hai? Agar wo jagah napaak ho jati he, to kapre bhi to napaak rahenge na, toh os jagah par kapre ko nichor kar phir baalti me daalkar dhona parega kya? Agar baalti me paani lekar, balti ke undar kapre ko daal deta hu, tabhi baalti ka undar ka paani kya napaak hojayega? Agar baalti ka undar ka paani napaak ho jata he to kapre bhi to napaak rahenge na? Our aapke pass kapre ko dhone ka asaan sa koi tariqa he to zuroor batana, kyun ke muje kapre paak karne ke har waqt bohot shak hota hai, yahi ke kapre ko pak kar paye ya nahi. Our is wajah se aksar me bohot preshaan rehta hu, to aap muje meherbaani karke koi hal bata dijiye taake meri pareshaani door ho.

Napaak baalti me paani daalna

Q: Muje ye jaana he ke agar kisi ne napaak baalti ko paak karne se phele, os baalti se ghusal kar leta hai, toh oska jism napaak hojayega na? To oska jism ko paak karne ke lia, balti ko paak karke osme pani lekar jism ke poore hisse par ek bar dal dene se jism ka sara hissa kya pak hojayega?