Khwaab ki Ta'beer
Q: Khaawb me kisi aik shakhs ko bar bar daikhna jise ap chahte hon. Kia tabir hai un khawbon ki?
Q: Khaawb me kisi aik shakhs ko bar bar daikhna jise ap chahte hon. Kia tabir hai un khawbon ki?
Q: Hamaari shadi kis se honi hai hamari kismat mai phele se he allaha ne likh deya hai ki hamari shadi is ladki ke sath he honi hai kya hum dua or wazifa se apni kismat change nahi kar sakte hai? Mera one yeras phele rishta hoya tha sab kuch theek chal rha tha lakin ab mera rishta tut gaya ladki ka bhai razi nahi hai sab log mujh se bolte hai apki kismat mai who nahi hai dua or wasife se meri kismat chamge ho sukti hai kya? Mai bot ziyaada pareshaan ho. Please mujhe wasifa batao jis se mai phir se un logo ko razi kar lo. Please meri hepl karo.
Q: Mera sawal yahai hai ki nikha kai liyai istekara ki kal namaz phadethai 2 din sai
1. Ek din yhai khawab aya ki ek old men jo white kurta mai hai aur white daade the aur muje aisa lagra tha ki vo sir hai aur uno eid milne yaa jumaa tha nai pata par eid milne aae jaisa dhika aur khairai ki agar mai namaz nahi phada toh farstay bolte ki namaz phadho bolkai aur baad mai hum pani nhanai ki zith karai thai phir sister bole ki unko nhana hai toh hum zid karai toh hum he nahai pani pahailai aur phuphu kai pass gai thai toh namaz phadai jaisa dhika par sahi yaad nahi hai.
2. Aur dosrai din kauch aisa khawab ayaa kauch aisa khawa aya samaj nahi ayaa....ek ladki the zakmi the aur tiger dhika aur ek chota ladkha bhi tha aur vo ladkha tiger ko mardala diger ki death hogae vo ladkai ki b shayad aur jab gali mai tiger ki death dhiki toh bahar nai jaai thaii
koe b aur apne aap par par apne aap par gandage kai chitai dhikai par hum jab ka jab saf karliyai par bathroom nahi dhika ...aur father ko bhi hath ko kauch maar lagae dhika aur jab hospital sai wapas aai toh white pate dhiki hath pai aur white baniyan pahain k thai aur jab fajar ko namaz ot rahe the toh ek ladkha aur ek ladkhi aur nane bolre ki khawab mai mara hova tiger nikha ki daleth hai bole phir hum fajar ki namaz ko otgae.
Hum allhumdulila 5 namazi bhi hai aur quaran ki tilawat bhi daily kartai par yhai khawab samaj nahi aya agar apko aya toh plzz bataeyai jazakalaha
Q: Mujhe khwaab ki tabir btayen. Me aaj suba fajar parh kar soi to mene fajar k bd aur suba aat baje k darmiyaan khuwab dkha k magrib ka waqt tha hmre ghar k bhar darkht hy jamun ka usk pattay ghar k andar ki taraf b atey hen kafi ghana darkht hy aur hara b. Magrib k tym mein ghar k andar jo us darkht ka hisa thora bht ata hy us mein hath dal k kch lena chah rae hn mjhy yad nh kia pechy sy awaz ati hy k eswaqt darkht mein hath ksy dal rae ho magrib hy halka andhera b hochuka tha mein dar k hath nkal leti hn. Phr sochti hn hmen to btaya b gya tha k darakht bhaari hy ye. Mein dar jati hn es sy agey mjh yad nh. (Aur waqai haqeqat mein darkht ka hmen btaya gya hy 15din pehle k darkht
bhaari hy ye).
Q: Mere husband ne ghussay mein kaha k tum meri traf se azad ho. Phir dusri bar kaha k meri traf se azad. Phir last mein kaha azad KIA. Ayse kehnay se divorce ho jate he?
Q: Aap se ye puchna hai ke talaq kisi bhi lafz se hojati hai maslan koi bhi lafz agar talaq ki niyyat se kahe to hojaegi? Ya is ke lia khas alfaz hai? Ya koi bhi kam talaq ki niyyat se kare magar moo se kuch na bole to hogi? Or agar talaq ka lafz pura na le adha lafz le. Jaise (talaaq) to hogi ya nahi?
Q: Quran-e-paak par hath rakh kar jhoot bolne ka kaffara kya hy?
Q: Mujhe ye puchna hai kai nikah hochuka hai par rukhsati nahi hui to khalwat ho sakti hai ya nahi? Kiss surat mai khalwat hojaegi. Matlab wo kaisi tanhai mai mile kai khalwat hojaegi or kitne time ke lye tanha ho? Or agar khatra ho kisi ke ane ka or darh ka mahol ho to khalwat hogi ya nahi? Mufti sahb barai karam muje puri detail ke saat batayega app ki nawazish hogi.
Q: Husband email per apni wife ko talaq sent karta hai phir bivi nahi parti aur paray baghair delete ker daiti hai kya iss tra baghair pary talaq ho jaye gi ya nahi aur husband bi inkaar ker dai ke us ne sent nahi ki. To kya islaam ki logic hai iss halat main?
Q: Wudu ke ikhtitam me wudu tooth jaye to kia shuro se dobara karna pare ga ya sirf faraiz dhowna parega?