Urdu Questions

Khwaab ki Tabeer

Q: Mene istikhara kya DUBAI driving liscence lenay ke lye ke yeh lena mere lye behter hay ke nhi? So khuwab ma mene dekha ke Train ma safar kar rha hun air aurat hay pass ma jo ke dhokay say seat par bethi hay. Aik shaks ata hay or kehta hay ke meri seat hay uth jao wo nahi uthti, pher kuch dir bad tt ata hay or kehta hay ke tickte dekhao to wo aurat bhag jati hay. Pher shor mach jata hay train ma ke wo aurat fraud kar rhi thi, pher isi dir ma ankh khul gai meri. So ab is ka kia matlub hay?

Ayk talaaq ke ba'd rujoo karna

Q: Hum dono yani main aur meri wife auk dosre se bahot puyer karte hain. Kuch jahgron ke doran auk din ghose main main ne apni wife se kaha kaha ager main dobara tumhary hath se pani piun to tum mujh se azad ho gi (niyyat ye the kh apni wife ko ye nahe kaho ga kh apni jaga se uth k ja ka mujhe pani la de). Os din k bad main pani ki botle humesha khud alag la k rakhta rat ko apne pass. Kaafi dino ke bad auk rat need se uth k meri wife pani pi rahe the meri botle se to mere ankh khul gi aur sath bethe bethe main ne kaha mujhe bi do to os ne wo botle mujhe di main ne pani pi lua.botle sath he rakhe the main he le k aya tha.to kua ab nikha ho ga ya nahe. Jabkh koi aur sonne wala nahe tha. Meri auk beti ha aur wife pregnent ha aur hum auk dosre se bahot payer karte hain.

Khwaab ki Tabeer

Q: Jab sahri kar namaz parka soya to mana khab ma dekha ka ma showa sa roti kha rahahu tabhi ilmhua ka ya shorwa to suwr ka (pig) kaha j ma gosht to nahi ha kan ka tukda ha mana mana bas shorwa ka sath thodi roti khay baki jo bacha us ko ek polithin ma dal raha tha fak na ka lia tabhi mari ammi ajo ka mara sa thoda fasla pa thi mami na kaha ka mugha bhi khana khan tha tu ya salan ku fak raha ha man kaha ammi ya kahan kalayak nahi ha or baki mana fak diya but mana to khaya ples is ki tabhir batay?

Mobile par nikaah

Q: Ma na kuch arsa phla ek nikah kea hea ek syed zadi sa. Ya nika chup kar kea hea ku ka who syed family sa hea to who family khandan sa bahir shadi nahi krta balka sari umr larki ghr rahti hea. Nikha ma na is trha kea hea ka who ek bewa khaton hea 6 bacha hea who khul ka shadi nahi kar sakti. Agr shadi krti hea to us ka bacho ka khrcha jo us ka chache date hea band kr da ga. Us ka chache na bhi kai dfa or us ki susral family ka kuch mardo na us ka sath ziddi ki koshis ki, ab who apna bhai ke ghr hea. Me na us ka sath mobile pa nikha kea hea. Who or ma ek jgha us ki friend ka ghr tha mbil pa dosri tarf mera ek dost qari or us ks sath 4 gwah tha, jo hum dono ko nahi janta tha. Khutba hoa larki sa us ki raza mandi puchi gi or nikha complte ho gea. Us ka bad hum dono milta rahi ab kuch din phla us na mujhea batya hea ka ap walid ban sakta hea. Phir hum nikha open nahi kar skta 2 3 sal tak. 

Mujhea pta ya krana hea ka kea humra ya nikha Shar'ee ho gea hea? Ku ka agr hum nika kisi masjid ma krta ya koi janna wal gawa hota to hum mar jata. Hum na Allah owr us ke Rasool ko gwah bana ka ya nikha kea taka zina jase gunha sa bach ska.