Urdu Questions

Mobile par nikaah

Q: Ma na kuch arsa phla ek nikah kea hea ek syed zadi sa. Ya nika chup kar kea hea ku ka who syed family sa hea to who family khandan sa bahir shadi nahi krta balka sari umr larki ghr rahti hea. Nikha ma na is trha kea hea ka who ek bewa khaton hea 6 bacha hea who khul ka shadi nahi kar sakti. Agr shadi krti hea to us ka bacho ka khrcha jo us ka chache date hea band kr da ga. Us ka chache na bhi kai dfa or us ki susral family ka kuch mardo na us ka sath ziddi ki koshis ki, ab who apna bhai ke ghr hea. Me na us ka sath mobile pa nikha kea hea. Who or ma ek jgha us ki friend ka ghr tha mbil pa dosri tarf mera ek dost qari or us ks sath 4 gwah tha, jo hum dono ko nahi janta tha. Khutba hoa larki sa us ki raza mandi puchi gi or nikha complte ho gea. Us ka bad hum dono milta rahi ab kuch din phla us na mujhea batya hea ka ap walid ban sakta hea. Phir hum nikha open nahi kar skta 2 3 sal tak. 

Mujhea pta ya krana hea ka kea humra ya nikha Shar'ee ho gea hea? Ku ka agr hum nika kisi masjid ma krta ya koi janna wal gawa hota to hum mar jata. Hum na Allah owr us ke Rasool ko gwah bana ka ya nikha kea taka zina jase gunha sa bach ska.

Larki ke baap ki ghair mowjoodgi me nikaah

Q: Meri shadi ko 8 mahine ho gaye hain. Kuch din sab theek tha lekin pichle 2-3 mahine se meri biwi apne maa baap ke ghar pe hai, is liye mai dusri shadi karne ja raha hon isme mere maa baap ki marzi hai. Lekin jo meri hone wali dusri biwi hai uske maa baap raazi nhi hai is baat se. To kya us larki ke baap ki ghair mowjoodgi me nikah jaaiz hoga? Mere maa baap sab khush, mere sath hai meri dusri shadi karne me. 

Khwaab ki Tabeer

Q: Meri behan kay lia rishta aya. Humari ammi nay baji kay rishtay kay liye istekhara kya, un ko khwab may kuch youn nazar aya:

Ke humari behan khari hain aur un kay samnay aik kalay rang ka, baray baalowala mota bakra khara hai, aur uski qamar (pusht) meri behan ki taraf hai, aur mahoul mai kam roshni thi. Bara e meharbani arz kijye kay is ki tabeer kya hai aur wahan rishta karnay kay baray may kya ishara hai?

Khwaab ki Tabeer

Q: Maine khwaab me dekha hai ke mai mere ammi, bhai aur bhabhi ek dusre ghar me jo hamara hai. Maine dekha ke bhai aur bhawaj ki phir se shaadi hui aur wo dono room me laite hue aur ek dusre ko lip to lip kisses kar rahe hai aur thodi der me dekha ke bhawaj ke ghar se puriya aur mitha bheja gaya hai, alag alag char thaaliyo me, jisme bahut sare puriya tuti hui hai aur me un sab ko mai ek jagah dal ke tuti hui puriya alag kar rahi hu. Iske baad maine dekha ke bhai aundha bed par half naked soya hua hai sirf uski peeth dikh rahi hai. Aur maine bahut bar meri shadi hote hue dekha hai lekin dulha nahi dekha khwab me aur mai shadi shuda hun. Please interpret kariye aur shadi ke khwab kyu aarahe hai please bataiye.

Khwaab ki Tabeer

Q: Main roz khwaab me seerhiyan dekhti hun aur khud ko pareshan aur idhar sy udhar pareshani ma jatay huai dekhti hun. Aap ne istakhara ke jawab me kaha tha han ha aur acha khwab he phir jis larkay se shadi ke lia dekha tha uska rishta kahin aur tah hogaya. Agr Allah Paak ki yahi marzi tu mainy sufaid rang kyun dekha? Allah tu rastay kholtay hain na istakhara karnay ke baad? Koi dua ho pareshani door ki tu bta dein. Main durud shareef parhti hun aur Surah Rahmaan bhi sunti hun pareshani me.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mere dow khuwab hai un ki tabeer chahye:

  1. Mera munh mashriq ki janib hai, aur asmaan per dekhta hon keh badlon se aasman pe Kalima Tayyiba likha hoa dekhta h0n, meri sath meri bhabhi aur dosre ghar wale baithe hain, aur main khara hon, main un ko kehta h0n k dekho asmaan pe kalima Likha hai, k0i nhn uthta, dosri bar kehta hon tab bhi koi nahen uthta, last time main ne un se kaha to sb dekhne k liye uthe. Un k uthne ki der thi keh Asmaan se badal aur kalima gaib ho gai, to main apne ghar walon pe sakht berham hoa, main ne kaha main ap logon ko uthata raha lekin tm log nhn ai ab kalima asmaan se chala gaya, phir manzar tabdil hota hai to main ne dekha k 2 chand(moon) hain 1 bara aur 1 chota hai bare chand men Muhammad likha hoa hai, wo main ne apne ghar walon ko dikhaya. 
  2. Main ne khuwab men dekha k 1 bazurg hain aur un ki safaid darhi hai aur unhon ne Green cloth pehne hoe hain. Wo mera hath pakar k kehte hain 1 bar phir mujhe apna hath dikhao, phir meri aankh khul jati hai.... 

Please mujhe in 2 khuwabon ki tabeeren jald bataen Mufti Sabab 

Rowze ki haalat me mazi nikalna

Q: Mera sawaal aapse ye he ke agar jinsi baat ki jaye ya suni, parhi jaye us se jo safed discharge khaarij hota he (jab ke jism may koi harkat mahsus na huwi ho, istaadah na huwa ho bus discharge ho to aysi haalat me kya ghusal farz ho jayega? Aur agar roze ki haalat me aisa ho tu kya ahkaam he roza totjayega ya foran ghusal karliya jaye to roze par asar nahi hoga? 

Waraasath ke maal par zakaat

Q: Mera abu ke foth hona ke bad hamara ghar ami ke name ho gia. Ammi ke foth hona ke bad ghar kuch arsa rent par raha gis ke rent bhai lata tha. Ba'd me ghar khali kar walia or ghar 2,3 sal band raha ab ham ne ghar sale kar dia he. Ham 3 sisters or 1 bhai hain. Mojhai mera hisa mila 3,4 months hoi hain. Kia mujh par zakat ami ke foth hona se lekar ab tak jab ke mojhe jo hisa mila ha usko sal nahi hoa ha jo ek zakat ada karne ke lia zarori ha.