Urdu Questions

Khwaab ki Tabeer

Q: May nay ramazan k akhri 25 rozy ko khwab may ak bachy ko dekha ke wo zameen ke ander hay. Mujy bataya jata hay bacha zameen my say peda ho raha hay. Bachy ke srif hath baher hota hy owr wo shahadt ke ongli otha ke kehta hay la ela ha el Lah. Sath hi boht saray log jo dekhai nai daty awazin ati hain LA ELAHA EL LAL LAH. Owr mujy kaha jata hy ye tumhara bacha jo peda ho raha hy. Please myje is ki tabeer bta dain. Is ke elwa dosra khwab dekha ke mera bhai mary bal kat raha hy. Mary lumbay bal maray bhai ney kat deya hain. 

Khwaab ki Tabeer

Q: Me fajar ke namaz para kar soogaia khwab dhaka to 5 bage tha. Mera khaab maa mara baba fouth huai 24 din hooaa khaab dhaka ka khwab maa mare choti bhain bee dekhi mara haath ma khana ke plate thi achanak mara haath kee ungli kaa naak thooth kaa 2 tukhara hoogaai mara baba bola ke bata dusara naag daalaanga.

Taubah karna

Q: Agar kisi insaan se bachpan me koi galti se gunah hojae jis se us pe dagh lag jae yani uske sath badfali hoi ho to kia wo apni zindagi aam insanon ke tarh zindagi guzar sakta he or kia us dagh ka koi illaj he is bare me tafseel se bataen.

Khwaab ki Tabeer

Q: Main ne aik raat Allah se dua ki ke meri shaadi kis sy ho ge, mujy khwaab main bata do. tTu main ne osi raat khab dekha ke main aur meri sister aik darga jaty hain, bhot mushkil raasta hota hai, wahan par aik adme ke gird log jama hoty hain aur os sy log sawal kar rahy hoty hain. Maine us se ja ke pochti hoon ke mere shadi kis sy ho ge, tu wo mayry dono hato main motion k pholon k gajry pehna data hai. Phir mery aank khol gae. Khawab ki tabeer bata dain.

Khwaab ki Tabeer

Q: Maine ek khawab dekha subha fazar ke time usmain yeh tak ek shaytan mujhe marne ke liye mere peche padha aur main bhaag raha hu toh usse bachne ke liye mujhe ek buzurghane din ki mazar mili aur main waha jake bachjaya shayatan mujh pe hamla nahi kar paya. Yeh mera pehla khawab. Dusra khawab yeh tha ki main kabristan main baad jamaat namaz ada kar raha hu pls aap mujhe is ka matlab batadijiye?