Urdu Questions

Umrah karne ke baghair ihraam utaarna

Q: Mein amny 3 nabaleq bacho ur biwe ka sath umra ka ley ihraam bandah masjid aysha say ur masjid haram aya rath ka time haram ma boht rash tah maray pass well chier thi is per bachy thy mujay security wallon ne undr jane nhi deya mujay un ki batein samaj nahi aai ur ma wapas hotal aagaya kunkay bachy sorahie thy ur mane ahraam utaar dey umra keye bagir.bad ma dobara kuch din bad nye ahram ka sath umra key.mujhe ahram utarne ka dam den ho ga. apna ur bewi ka ur bacho ka?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mianay dekha kay main room main bed per betha laptop per internet use ker raha hon, raat ka waqt hay, mujhe koi dar mehsoos hota hay tu main shayad laptop main aisi ayat dhondnay lag jata hon jo hifazat ki hon, meri sisters room main ati hain aur meray pas chaye (tea) rakh ker chali jati hain, mujhe 2 ayat milti hain main unhay likhnay ki koshish kerta hon 1 paper per, lakin room ki light off hojati hay, main uth ker light kholnay ke liye sab buttons dabata hon per light nhi khulti, fan ka button band hota hay per fan chal raha hota hay, main bohot dar jata hon, phir shayad mujhe koi awazay ati hain, main dosray room main chala jata hon jahan mairay parents aur sisters bethay hotay hain main ro raha hota hon khof say aur bahar ki taraf ishara ker raha hota hon, phir walida kay pas blanket main ghus jata hon. (Is khawab kay meri ankh khul gai thi khof say aur mairay moun say khof ki waja say awazay bhi nikal rahi thi).

Qardh ada karna

Q: Mein ny kuch arsa pehly aik sahib sy kuch paisy udhar liey. Wo sahib shariat k paband aur tblighi jamaat sy munsalik thy . sahib e hasiat hhein. paisy deiny k baaad un k behaviour mein tabdili a gai kuch fazzol kisam ki batin kin jin ki waja sy mein ny unhin sakhti sy dant diya. ab mein qarz wapis krna chah rahi hon mein ny unhin masseg kiya k ap apna account no dey dain ya mein kisi k hath ap ko paisy bhijwa don. un ka jawab aya k mein ny paisy is trha na diey thy na lon ga. ap khud a kr wapis krin. paisy to maaf bhi kiay ja sakty hein ap dena hi chahti hein to jasy mein ny a k diey wesy hi ap a k dein. aik sort hy pasy wapis krny ki k ap kbhi kabhi  phone py  mujh sy baat kr liya krin agr aesa nhi kr saktin to sirf masseg kr liya krin. wo sahib 3 baar umra kr chuky hein aur har baar mujhy masseg krty hein k mery sy jo ghalti hoi mujhy muaaf kr dein lakin. qarz ki wapsi py un ki ye shart keya kehti hy. mery sar py qarz k bojh hy mujhy samjh nhi ata keya kron. wo kisi aur trha peisy leny ko teyar nhi.ya khud ja k don ya un sy rabita rakhon.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mujhse kisi ne ye sawaal kiya ke ssne khwab me bahut se pig aur pig k bacho ko dekha. Ye bhi ke sab ne mil kar us shaka ko kaat liya jisse us shaks ki aankh khul gy. Aur aankh khulne per use dard bhi ho rha tha. Ek week baad usne phir se kutto ko kat'te hue dekha khud ko.

Khwaab ki Tabeer

Q: May nay ramazan k akhri 25 rozy ko khwab may ak bachy ko dekha ke wo zameen ke ander hay. Mujy bataya jata hay bacha zameen my say peda ho raha hay. Bachy ke srif hath baher hota hy owr wo shahadt ke ongli otha ke kehta hay la ela ha el Lah. Sath hi boht saray log jo dekhai nai daty awazin ati hain LA ELAHA EL LAL LAH. Owr mujy kaha jata hy ye tumhara bacha jo peda ho raha hy. Please myje is ki tabeer bta dain. Is ke elwa dosra khwab dekha ke mera bhai mary bal kat raha hy. Mary lumbay bal maray bhai ney kat deya hain. 

Khwaab ki Tabeer

Q: Me fajar ke namaz para kar soogaia khwab dhaka to 5 bage tha. Mera khaab maa mara baba fouth huai 24 din hooaa khaab dhaka ka khwab maa mare choti bhain bee dekhi mara haath ma khana ke plate thi achanak mara haath kee ungli kaa naak thooth kaa 2 tukhara hoogaai mara baba bola ke bata dusara naag daalaanga.

Taubah karna

Q: Agar kisi insaan se bachpan me koi galti se gunah hojae jis se us pe dagh lag jae yani uske sath badfali hoi ho to kia wo apni zindagi aam insanon ke tarh zindagi guzar sakta he or kia us dagh ka koi illaj he is bare me tafseel se bataen.