Urdu Questions

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khwab dekha keh meri maa aur waha pe koi aur aurat b thi jo mujse pani mang rahi ti to mein pani ek dekhche mein lata ho aur dekhche ka cover hata ta to usme glass hota hain aur mein ne ais dawran news paper b dekha jo glass se chemta huwa ta to mein ek glass pani ka us aurat ko deta ho to woh peli ti hain.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khwab dekha keh mein ur (fly) raha ho ek darkhat samne ata hain to woh darkhat shahtoot ka hota aur sufed toot hotay hain liken woh lamber wale shatoot nahi chotay wale jo aloochay k tarah k hotay hai to woh sufed wale mujehe pakay hoi nazar nahi atay to mein kisi aur darkhat k kareeb jata ho to kya dekhta ho waha us darkhat mein black toot hain aur pake hoi toot hain to mein khane lag jata ho aur bahut ziyada khata ho to waha pe ek aurat hoti hain unka shohar foreign country mein hain to mein usay kehta ho keh ap apne husband ko be yeh toot bejde kio ke waha pe yeh kafi mehange hotay hain to woh aurat mujehe kehti hain okay mein sochti ho. Please agar is ki koi tabeer hain to bata de. Shayed is mein mere bemari se shifa ki taraf koi isharah ho?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khwab dekha keh mein namaz parne ja raha ho aur waha pe ek aur b admi hota hain to mein usay kehta ho chalo namaz partay hain to mein hum namaz keliye karay hotay hain, kya dekhta ho keh mein hi imam ho to mein surah fatiha parne lagta ho jaisse faraz namaz mein surah fatiha parte hain waise hi mein surah fatiha parne laga,2 rakat namaz partay hai lekin mujehe aisa feel hota hain keh woh admi mujehe sahi follow nahi kar raha hain namaz mein. mein to namaz complete karta ho achi tarah per jo dosra hota hain woh mujehe sahi tarah follow nahi kar raha hota.plz agar ais ki tabeer hain to share kare thanks.baki Allah behtar janta hain.

hosake to mere liye dua b karnna keh mujehe Allah talah achi sehat naseeb farmay. Ameen.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mairi walida nai khawab daikha kai Elaan husa ab har ghar mai gandum (Wheat) ho ge Phir unho nai daika kai hamari bathak mai sunahri gandum ka dhair hai aur chaki lagi hui hai aur atta pis pis kar nikal raha hai. Please is ki tabeer btaye ga Khuda aap ko Jaza e khair dai.

Khwaab ki Tabeer

Q: Ye khawab mairay cousin nai daikha kai wo jisay chahtay hai us larki nai parrot Green suit pahan rakha hai us ka libas bareek hai wo mairay cousin kai samnay khari hai phir wo larki aur maira cousin bike par ghomnay chalai jatay hai wo fields wali side par jatay hai wahan 2/3 admi kharay hai maira cousin un sai bat karta hai wo larki bhi wahi sath khari hai phr maira cousin ghar a jata hai aur wo larki ko waha sai lana bhool jata hai akela ghar a jata hai wapis anay par wo pareshan hota hai kai wo larki ko wohi bhol aya phir wo usay dhondnay jata hai boht dhondta hai magar wo nahi milti jab wo ghar wapis ata hai to wo larki aur larki ki walida us kai ghar cousin ki walida aur family kai sath baithi hans hans kar batain kar rahi hoti hai is khawab ki kya tabeer ho gi? 

Ghusse me teen talaaq

Q: Mera sawal mere parents ki divorce ke hawale se hai mere father ne meri mother ko takreeban dair saal pehle gusse mein talakh dedi the 3 bar keh kar ke mein (tumhe talakh deta hoon talakh deta hoon talakh deta hoon) lekin us ke 2 ya 3 din baad unhone rujoo karliya yeh keh kar ke gusse mein talakh nhi hoti. to kiy talakh nhi hooi? kiya yeh rujoo jaiz tha? 3 din pehle unhone phr meri mother ko physically abuse kiya or usi gusse ki halat mein 5 bar kaha ke (mein tumhe talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon) to kiya talakh hogai? or phir unho ne 3 din baad rujoo karliya or meri mother agree hien unke sath wapiss shadi shuda zindagi guzarne ke liye... kiya mere mom dad ek dosre ke liye halal miya bv hein? or kiya is tarah baar baar gusse mein talakh deke ruju karna jaiz hai? agr nhi to please Quran or sunnat ki roshni mein batiyeh ke meri mother ko kiya karna chaiyeh? 

Ma baap ke saat hajj ke lia jaana

Q: Mere walid or walida sahiba hajj parr jana chate hein, wo chate hein ke mera baai bi un ke saath jaae q k mere abu ki sehat kharab ho jati ha lekin mara baai kehta hai ke next year mein ap ke saath jaaoon gha qk uske upar 10,000 euro ka qarz ha. Mufti sahab mera aap se swal ha ke mere bhai ko apne walden ki baat maan kar unke saath haaj par jana chaye ya phir pehle apna qarz utaar ka phir haaj par jaana chahia? Mufti sahab is baat ki waja se ghar mein besakooni ha.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mai nai yeh khawab ba waqat e Sahar daikha hai kai mai apnay jananay walo kai ghar jati hon aur un sai doodh mangti hon pahlay din to wo mghay doodh dai daitay hai lakin dosray roz jab mai doodh lainay jati hon to wo kahtay hai kai barish ki waja sai aaj hm nai doodh nhi nikala aaj doodh naahi hai phir mai nai isi khawab mai daikha kai mairay sath mairi walida bhanji aur bahan hai mairi bhanji aur bahan kho jati hai mai apni walida ko kahti hon kai ap rukai mai unhay lai kar ati hon boht taiz barish hoti hai aur galiyon mai pani bhara hua hai boht ziada mi us mai chal kar jati hon bahan aur bhanji mughay mil jati hai lakin mai rasta bhool jati hon boht unchay neechay rasto par jati hon naye buildings purani sarkai pata nahi kya kya bil akhir aik admi kahta hai kai mai aap ko lai jata hon yeh rasta bhi usi taraf jat hai jahan aap jana chahti hai is khawab ki kya tabeer ho ge plz rply zaroor ki jiye ga Allah aap ko jiza dai.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khwab dekha keh meri maa mere saamne wali charpayee per beti hai aur uske haat mein lal ranga taweez hai aur woh mujehe koch keh be rahi hai but kya keh rahi hai mein nahi janta aur Alhamdullellah meri maa zinda hai. mein kafi bemar ho aur mujehe samaj mein nahi araha hain keh mujehe kya bemari hai.