Urdu Questions

Ma baap ke saat hajj ke lia jaana

Q: Mere walid or walida sahiba hajj parr jana chate hein, wo chate hein ke mera baai bi un ke saath jaae q k mere abu ki sehat kharab ho jati ha lekin mara baai kehta hai ke next year mein ap ke saath jaaoon gha qk uske upar 10,000 euro ka qarz ha. Mufti sahab mera aap se swal ha ke mere bhai ko apne walden ki baat maan kar unke saath haaj par jana chaye ya phir pehle apna qarz utaar ka phir haaj par jaana chahia? Mufti sahab is baat ki waja se ghar mein besakooni ha.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mai nai yeh khawab ba waqat e Sahar daikha hai kai mai apnay jananay walo kai ghar jati hon aur un sai doodh mangti hon pahlay din to wo mghay doodh dai daitay hai lakin dosray roz jab mai doodh lainay jati hon to wo kahtay hai kai barish ki waja sai aaj hm nai doodh nhi nikala aaj doodh naahi hai phir mai nai isi khawab mai daikha kai mairay sath mairi walida bhanji aur bahan hai mairi bhanji aur bahan kho jati hai mai apni walida ko kahti hon kai ap rukai mai unhay lai kar ati hon boht taiz barish hoti hai aur galiyon mai pani bhara hua hai boht ziada mi us mai chal kar jati hon bahan aur bhanji mughay mil jati hai lakin mai rasta bhool jati hon boht unchay neechay rasto par jati hon naye buildings purani sarkai pata nahi kya kya bil akhir aik admi kahta hai kai mai aap ko lai jata hon yeh rasta bhi usi taraf jat hai jahan aap jana chahti hai is khawab ki kya tabeer ho ge plz rply zaroor ki jiye ga Allah aap ko jiza dai.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khwab dekha keh meri maa mere saamne wali charpayee per beti hai aur uske haat mein lal ranga taweez hai aur woh mujehe koch keh be rahi hai but kya keh rahi hai mein nahi janta aur Alhamdullellah meri maa zinda hai. mein kafi bemar ho aur mujehe samaj mein nahi araha hain keh mujehe kya bemari hai. 

Istikhaara ke ba'd me ne ye khwaab dhekha

Q: Mai nai apni shadi kai liye istkhara kiya kai mai jahan chahti hon waha shadi ho jai ge ya nahi aur sahi rahai ge.

Mai nai khawab mai daikha bohat sai admi hai chotay baray unhon nai gray pant coat aur black shoes pahn rakhay hai aur wo aisay kharay hai jaisay match ka graph hota hai aik jaga khali shoes hotay hai jaisay hi admi shoes mai ata  hai Graph complete ho jata hai phir isi khawab mai mai nai daikha kai hamari aik azeeza ka ghar ban raha hai boht bara waha bohat sai greeny plots hai aur 2 baray kamray hai un azeeza ki 12 nokraniya hai jin mai sai aik mai bhe hon kahatay hai sab nokraniya unlegal hai un 12 mai sai 6 nokraniya bhag jati hai baqi 6 nokraniaya mugh samait bachi hai mai un ko mana karti hon kai hum nai malkan ko nahi chor kar jana hai phir isi khawab mai daikha kai aik kamray
mai aik chokidar so raha hai aur us kay sarhany paki hui tea ka packet para hai phir isi khawab mai daikha kai mai bahir aik greenery wali jaga par khari hon qareeb hi pani ka aik pipe hai jis sai pani ki phuwar jari hai mai nai white dress pahna hua hai aur samnay aik parrot green colour ki wood roof hai us mai aik larki khari hai us nai green suit pahna hua hai khoobsurat hai wo hans kar mughay hath hila rahi hai aur mai usay kahtay hai wo bhagi hui nokrani hai shaid. Please mughay is ka rply jald di jiye ga khuda aap ko is ki jaza dai.

Khaab ki Tabeer

Q: Mein ne khwab dekha k zameen ahesta se heli to meri maa b waha ti khwab mein mere saath to maa mujehe kehti hain nahi zalzala nahi hain to thori dher baad zara zor se jatka aya to mein ne maa se kaha dekho zalzala hain to mein darr ki waje se maa k gale laga aur uske baad mein Darood shareef parne laga aur pher mein apne ghar k andar jane laga to ek orange ranga kuta jo hamara apna hota hain woh b mere peechay aya aur darwazay mein hum dono gar ke andar dakhail hoi aur mein ne dekha gar ke andar to waha per meri babi ek charpayee pe leti hoi hain mujehe dekh kar woh ut jati hai...aur pher mein neend se jag jata hoo. Please agar is ki koi tabeer hain to share kare.

Khaab ki Tabeer

Q: Hamara gar he usme kirayedar kirayepe makan liyahe muje sapneme deka ke 2saap ka sar hamri is makan ki darwazeme hee kya hee je sapna bohot pareshan kartahe muje.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mufti sahab mein ne khwab dekha ek evil aurat mujehe pe hamla kar rahi hain lekin mein usko marta ho ek loha hota hai jais se 5 lohe aur b neklay hoi hote aur mein uske zariye warr karta ho us evil per but woh peechay nahi hatti tab mein surah nas parne lagta ho to woh evil aurat sust hojati hain per marti nahi hain pher waha pe koi admi hota hain jais ka face to mein nahi dekh pata but woh mujehe koch qurani pages de deta hain aur mein woh quran ke pages us evil aurat k saat touch karta ho to woh aurat jal jati hain aur woh qurani pages b saat mein jal jate hain. Please agar is ki koi tabeer hain to share kare.