Namaz, Zikr, Quran paak parhna, baara bajhte hi chowrna
Q: Mene kuch logon ko ye kerte huwe dekha he ke jub theek 12 bajte he tou woh namaaz, zikr, Quran paak parhna chordete hain halake zawal ka waqt to badalta rehta he or wo saheeh karte he kya? Aur kya din ke baara baje or raat ke baara baje to zikr, tasbeeh, namaaz, Quraan paak parhna chorde kya? Aur makruh waqt main Qur'an paak, zikr, tasbeeh to parh sakte he zabaan se ya dil me ya dekh kar zaban se ya dil se? Aur agar koi makrooh waqt me namaaz parhe ya Quran paak ka sajda qubool hoga?