Urdu Questions

Khwaab ki Tabeer

Q: Meri dada ka inteqal ho gaya hai 16 march ko aye mein ne khuwab mein daikha hai ka dado meray pas behthi hai aur mein ne poucha dado ap khush hai na tou dado ne bhut ezeeb si bat muskara ka ya tou khuda khatam kar don ya muje upar bula lye please is khuwab ka matlab bta dein.

Na mahram doctor ke paas jaana

Q: Na mehrram ourat nurse, docter kisi na mehrram beemar mard ka ilaj cheack up ker sakti hai? Or aise hi na mehrramm mard docter kisi na mehrram ourat ka ilaj check up ker sakta hai? Or na mehrram school, college  tc ke teacher ko dekh sakte hain shewat ke ya baghair shewat ke?

Khwaab ki Tabeer

Q: Meri saas ko pehle 3 din se ek ghar ka khuab ara hai ke ek ghar ban raha ha or wo us ma hain or us ma buhat kamre hain or ek admi usy bana raha hai. Is khuab ke bad unko phr ye khuab aya agle din ke wo phr ek ghar ma ha or unki behan unk sath hai or wo une meri saas ke bête ke liye Larki dekha rahi hain or ek Larki ha Jo Khush bhi interest show Kari hai or meri saas usy kehti hain jao phoppi se bat Karo tu jab wo Larki phoppi ke pas jati ha tu phoppi achanak foran chali jati hain.

Mani owr mazi ke darmiyaan shak ho

Q: Ager ihlam bhi yaad na ho or kappre gele bhi naahin hon naahin uun pe koi mani,mazi ka suuka wa nishan mojuud ho mager jub sharam gah pe ek suuka wah sofaid ya zard rang ka halka sa nishan mojuud ho ya dusri surat main ziyada nishan mojuud ho sharam gah pe or khuwab main kisi larko ko dekha mager behuda ruup se nahin naahin khuwab dekhne wale k shewat aye ho or lazat bhi nahin aye ho tou yeh  teenon suraten maine jo bayan keen hain inn teenon suraton pe ghusul farz hoga ? ek ek surat ko khol khol ke bayan keren. 

Hamare Walid ne apne wafat se pehle hi makaan ko hamare walida ko hadya kar deya

Q: mera swal ek makan ky mutalik hy. ham 2 bhaee aur 6 behnen hen, hamary walid ny apne wafat sy pehly he makaan ko hamare walida ko hadya kar deya tha. ab walid ke wafaat ky baad ame ny fesla kiya ky ye makan ham dono bhayoo kke milkeyat rahy ga aur ham dono bhai apne 6 behno ko ek ek lakh rupya dengy. jo ham dono bhayoo ny mill kar ada kar deya tha. ab kafe saal guzarny ky baad hamare ek behan taqseem ky us amal sy ikhtelaaf karty hoy makan ke sharee warasat ky hissy ka dawa kar rahee hy. shareat ke ro sy ab iss makan ke warasat ka kea hukam hoga?

Ihtilaam

Q: Mera aap se sawal hai 1 ager neend main se uth ker behuda khuwab bhi yaad nahin ho magerjub apni sharam gah ko dekhe tou uss pe pani numa cheez lagi hui ho yani shayad mazi ya mano ho tou kya ghusul farz hoga? 2 neend main behuda khuwab bhi yaad nahin ho or jub aankh khule tub apni sharam gah ko dekhe tou uss pe mani ya mazi lagi wih ho mager kappron pe bhi koi zaheer mani ka nishan nahin ho tou kya ghusul farz hoga? 3 ager behuda khuwab dekhne per jub aankh khule tub shaq ho ke yano 2 taraf shaq ho ke khuwab dekha hai ya nahin mager sharam gah pe mazi nuuma cheez lagi ho tou ghusul farz hoga ? 3 ager behuda khuwab aye mager kappron pe suuke weh nishanat hon or sharam gah pe koi mani ya mazi ka suka wah ya geela nishan bhi nahin ho tou ghusul farz hoga ? ager koi aise napak kappre pehn ker koi shaks soye jin pe pehle se hi mazi ya mani ke nishanat hon ab jub woh soye tou behuda khuwab aye mager woh shaks ulhaj jaye ke mere kappre tou pehle bhi mani ya mazi ke nishanat the ab usse kis taran pata chale ke meri mani ya mazi kharij hui hai halanke uski sharam gah pe bhi koi suuka wah ya geela nishan nahin ho tou aise surat main ghusul farz hoga?