Urdu Questions

Do talaaq

Q: Ek din mera aur mere husband ka jhagda hua. Maine gusse me unse talaq mang li unhone kaha "thk h maine de diya" but unhone talaq ka word use ni kiya aur na unki niyat ti dene ki to kya usse talaq ho jaygii aur iske thodi der bad mere husbnd ne do bar mere mangne pe bola k "maine tmhe talaq diya" To kya talaq ho gyi?

Hum log isko do talaq smjh re te phle wale pe dhyan ni diya ta bad me khayal aya k bgair talaq ka alfa bole b takaq ho jata h. Kya phla wala lafz kinaya me ayga ya teen talaq mani jaygi ab plzz masle ka hal btaye

Biwion ke darmiyan barabari

Q:

1. Agar doosri biwi ka pehli biwi ko pata nahi to us waqt tak dono bewion main adal karna laazim hai?

2. Deen main pehli biwi ko batana zaroori nahi k doosri bhi biwi hai. To aisi soorat main barabar k din (waqt) kaisey taqseem hoga? Kiya us per ALLAH ki pakar nahi hogi?

3. Kiya doosri biwi ko wohi sab kuch bhi dena laazmi hoga jo uski (doosri biwi) ki shaadi sey pehley us k husband ki pehli biwi ko dey chuka hai?

Aurat ku naaqisatul aqal ka matlab

Q: Islam me aurat ku naaqisatul aqal wad din kaha gaya hai lekin aaj science aur technology se hame ye maloom hui ki aadmi ka dimaag aurat se 10% bada hai, lekin aurat ka dimaag hi achhi tarah se kaam karta hai, wo cheze ziyada der tak yaad rakh sakti hai, aur unka dimaag mard ke muqable tez hai. Aur Islam aur ulama ne toh iska ulta kaha hai, wo kehte hai aurat me aqal, mard ke muqable kam hai. Hame saheeh baat bataye. Ham bohot confuse ho rahe hai, aur imaan kamzoor bhi ho raha hai.