Urdu Questions

Business me jhoot bholne se ziada paise milna

Q: Mera sawal ye hy k apnay business main apni country ghalat batanay se kia rozi haram hogi.. ya gunah hoga? kitna..? Is ghalat btanay se kisi ko nuqsan b nai hoga, na hi hm kisi ko dhoka detay hain... bs hmary pas log wo ayen gay jo ziada paisay detay hain...

In detail:

Main aik freelancer hon. Website designing or graphic designing krta hon. Online hamary mukhtalif mulkon k clients atay hain. Pakistan ki market buht down ho chuki hay... Uski do main wajoohat hain.

1. Logon ko kam nai ata pr lalach main kehtay hain k hmain ata hy or clients ki websites main cheezain khrab kr detay hain. Is wajah se bahr k logon ka Pakistanio pr trust nai hay...

2. Yahan k kch log jin k pas clients thoray atay hain wo ziada kaam buht km paison main kr daitay hain...

Ab mera aik dost hay, hm ikathay kam krty hain... or mujhay us se ziada kaam ata hay... main uska teacher hon is kaam main, jo kam wo nai kr skta wo usay main kr k deta hon... us ki profile UK ki bni hui hy. Wahan pr jo log atay hain, wo paisay ziada detay hain. Meri profile Pakistan ki hay. Meray pas wohi log atay jo paisay buht kam daina chahtay hon. Q k USA, UK k freelancers ziada paisay laitay hain, is lye wo Pakistanio se buht km paisay main kam karanay atay hain. Jo ziada paison wala client hota hy, wo Pakistanio pr aitbaar hi nai krta... Ab halan k mjhy apnay dost se ziada kaam ata hy, pr uski kamai meray say 4 guna ziada hay... Ab is soorat me main kia kron..? Q k meray mulk ghalat batanay se client ka koi nuqsan to nai hoga.. Ab ye rozi haram hy? ya sirf gunah hy... kitna gunah hay..?

Bool se asar ki namaaz beghair ghusal se parhna

Q: Me soyi huwi thi to mujhe jinsi khwaab aya meri aankh khul gayi lekin mein ne geelapan mahsoos nahi kya aur dobaara so gayi jab dobaara meri aankh khuli to me ne geelapan mahsoos kya mujhe khwaab yad nahi tha me is geelepan ko mamool ka discharge sumjhi kyoonke me safed dischaarj ki mareez hu to me ne is ko mamool ka discharge sumjate huwe asr ki namaaz ada kar li lekin jase hi me namaaz se faarig huwi mujhe khwaab yad aa gaya baqi ki namaze mein ne ghusal ker ke ada ki. Mujhe bataye jo me ne baghair ghusal namaaz adaa ki us se mujhe gunaah to nahi ho ga aur us ka asar mere Imaan aur nikaah par to nahi ho ga aur us ka kuffaara kya he?

Eidi aur pocket money par zakaat?

Q: Manay parha h k zakat wajib honi aik aik shart nisaab ka maal e naami hona h jo maal ka barhna h mera maal to istarah barha h k muja eidi or poket mony milti h or jo koi mahaman da k jaye us se pasay jama hotay hn to kia is tarhan barhany waly maal pa zakat wajib ho ga ma khud to kaamti nahi hun na hi tijarat karti hun?

Khwaab

Q: Raat ma ny khwab daikha ha kh ma apny father k pass betha hu jin k real my death ho gai police ati ha mjynpkr lyti ha ma unchi unchi kalma tayeed parnha start krta hu phr thori door ja ashiq rasool ka jalus ata ha to police wala mjy chor dyta ha kh bag skty ho to bag lo bas phr mri ankhn khul gai is ka kya mtlb ha ha sab ka?

Dream

Q: I have seen dream in night that I see world from top and flying around world someone is with me and I am deciding which country I should land for work and settle, I see South Africa and Saudi Arabia and then I move up I saw Alantica snow and snow and then I couldnt decide and landed in a country of Poland or Australia, it was near Alantica and then I saw there are my friend too and to settle down thier and looking for work. mMy brother was also with me in that country then we went to a rooom looking to stay and also thinking about work type.

Khwaab

Q: Mera aik beta hai 1 saal ka aur meray husband mulk se bahar hain onse mera koi raabta nhi 6 months se wo humse rabta nhi rkhna chahtay.. Mera sawal ye hai k mainay khowab main dekha k meray shohar nay hamaray betay ko goli maar di hai aur main onhai mana karti rehgai k na maarain phir mjhy aisa laga k wo mjhy bhi marna chahta hain tou nain chupnay lagi.. Abhi recently khowab dekha k wo dulha banay hoye hain aur dulhan kabhi mjhy lgta hai k main hun kabhi lagta hai koi aur hai. Mjhy in khowabo ki tabeer bataden.