Urdu Questions

Haato par mehndi dekhna khwaab me

Q: Meine khwaab mein dekha ke mere aur mere behen ke haath mein mehendi lagi huvi hai aur saath mein jo ladki hai uske haath mein bi mehendi hai. Hum teeno yani mein meri behen aur wo ladki ki shadi hone wali hai khwaab mein. Mufti saheb khwaab mein mehendi aur shadi ana iski kya tabeer hogi? Aap meherbani karke please is khwaab ki tabeer batadjiyea.

Sunnat ke mutaabiq har kaam karna

Q: Hume khuwab me ye dikha. Main kisi room me thi jo upr ki taraf second floor per tha. Usme stairs se upar charh ke hazrat Ali radiallahu anhu arab the unhone white libas aur black turban pehan rakhi ti aur kamli ti black clr li shoulder per aur hath me quran e pak tha. Wo room unhonr muje rehene ke liye dia tha aur unhone ye b kaha ki kisi b chiz ki zarurat hoto mujse keh dena ye b kaha ke mere hote huye apka koi bal (hair) bhi baqa ni kar sakta. Itne me wo chale gye and ek khabis muje tang karne agya me usse dar le bhag gyi fr raste me mene mola ali ko awaz di toh wahan ek qabr thi unhone usi qabr ka pata b btaya tha ke wo wahi pas me rehte aur tab uske bad wo khabis b ni dikha khuwab itna hi diikha . Plz iski mujhe tabir btaiye. Aur 2nd khuwab ye h ki unhone mere liye rote huye khuwab me dua b ki mera name leke jb wo lete huye the aur ro rahai the plz iski b tabir btayein.

Haraam taalluqaat

Q: Mai jis ladki se nikaah karnay wala tha, us ladki ki marzi sirf mujh se nikah ki thi. Shuru me ladki ki maa ki marzi bhi thi lekin ek acha rishta aaya to ladki ki maa nay ladki ko taweez de k us ki shaadi karwa dii us ki marzi k khilaaf. Ladki nay nikah kar b liya mujhay bataya take nahi lekin ladki me nikah ke aglay din ro ro ke kaha ke mai khush nahi hoon. Aaj raat ko mujhay khawab me ladki aayi vo ro rhi thi. Mainay poocha ghar waloon me zabrdasti shaadi karwai. Wo bolti haan aur bolti mai wahan shaadi nahi krni but ab shaadi to ho gayi. Mai dua kar raha hoon ke un ka talaq ho jaye aur hum donu nikah karain gay. Aap mujhay istikhaara kar ke batao ke mai unki talaq ka wait karoon aur ladki pe jo jaadu ya taweez maa nay lagain hain us ka kaat kar dejiye. Please help me. Mai bhi ladki ke begair soch soch ke pagal ho raha. Sabar nahi ho raha.

Doosra nikaah karna

Q: Me shaadi shuda hun. Mujy ek larki jo bohat garib he us sey payar ho gaya hiy jab ke mery teen bachey hiy bari bati 6 ki or last bati 3.5 year ki hiy us larki sey me ne shaadi ka wada keya us ny apni famely sey baat ki. Wo lowg razi ho gey or kushi kushi min shadi ki tyari karny lagey. Ab shaadi min 3 din rahy gaey. Me ne ye baat apni famely sey chupa rakhi he. Ab me kya karoo. Wada khilaafi karoo ya shadi karoo mujy kuch samaj nahi araha he. Me kya  karoo. Please help kary.

Khwaab me shaadi ki tayyari dekhna

Q: Mere khwaab mein meri shaadi ki tayyari chal rahi hai. Sab mehmaan aye huwe hai. Mere hone wale saas bus se utar ke ghar ate hai. 8 din mein shadi hai bolke bol rahe hai. Mufti saheb yea khwaab fajar ke khareeb side karwat soke hai jab aya. Mufti saheb is khwaab ki tabeer batajiyea. Mein bohot pareshan reheti hun jab se mera khula huwa hai.

Napaak kapray ko paak krtay waqt kya insan khud bhi napaak hojata he?

Q:

1. Mera sawaal hay ke paaki ki halat may kisi napak kapray ko paak kartay waqt insan kia khud bhi napaak hojata he? Yaad rahay us sorat par baat kar raha ho jab jinsi hisse say nikalne wala mani kapray par lagi hoi ho or aysay kapray ku dhona ho to?

2. Sotay waqt baz dafa koi ganda khwaab ajata hay jis ki waja say mani khaarij hojati hay. Aysa kia karo jis say yeh cheez na ho or sotay waqt napaaki ka shikaar na ho.