Urdu Questions

Khwaabo ki ta'beer

Q: Main hmesha teen tarah khwab dekhta hun. Peahla ye hai ki meri train hmesha chut jaati hai main pakadne ke liye train ke piche daudta hun fir bhi chut jaati hai kbhi kbhi main train me hi rhta hun but jb kuch lene k liye niche utrta hun meri train chut jaati hai main pareshan hun aksar aise khwaab aate hain mujhe.

Dusra khwab ye hai ki main aksar bade bade sanpo ko (snakes) ko dekha karta hun halanki wo mujhe kuch karte nhi kbhi kbhi main hi unko dande se ya far kaise bhi maar deta hun mere ghar me kuch shaitani aasrat bhi hain is nazariye se bhi to ye kuch galat khwab se to nhi?

Teesra khwab bht ajib sa hai jisme main dher sara laterine karta hun. .. ye teen khwab aksar mujhe aate hain main samjh nhi pa rha hun ye akhir hai kya.

Neak suhbat ikhtiyaar karna

Q: Main ne khwaab main dekha ke main aur mery husband Kahee out of town ja rahy hain humara car k peeachy kuch loog lug jaty hain Wo hum ko rook laity hain mery saath mera new born baby Hota hai Wo uss ko mujh se cheen k pani main phenk daity hain per pata nee kesy main uss ko bacha latee hoo aur in logo se uss ko chuppa ke rakhtee hoo wo soch tu hain k bacha mar diya hai unhoo ne phir Wo waha se chaly jaty hain. Please bata dain is ki kiya tabeer hai. Main abi pregnant hoo. Kiya yeh mery liye kisi khatry ki taraf ishara hai?

Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne khawab me dekha ke main hajj per jany ki tayaree ker ree hoo mery saath mery bachy meri bhabi mera two Bhai aur choty Bhai ka bacha aur bary Bhai ka beta sath jaa rahy hain hum waha jaty hain main masjid jatee hoo namaz parny k liye phir mera chota nephew gum hoo jata hai thory time k baad mil b jata hai per waha per boht fighting hotee hai loogoo main iss ki Kiya tabeer hai.

Qasam towrne ka kaffara

Q: Mane aapse pochna thaa ke qasm ager hamne qasm khaae ho kch krne na krne ki lakn hm usse tordetehain toh uska kya kafara ada krna hoga. Mane tafseer ma abhi prha k qam tre gae ho toh uska kafara yss kaam ko chorkr ada krna ha. Ab yahan Kafara kya ada krna ha?

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhy Khwaab ki tabeer jaan'ni hai aur ye 6 bje ke bad aya hai khwaab. Khwaab ye ke subha ka time hota hai bht tez barish ho rahi hoti hai aur mene apn ghar kuch change dekha hai k bahar sehen bana huwa hai. chat mn .. aur shaam ko barish ruk jaati hai .. mn sehen mn wiper maarne jaati hun aur sb andar roomz mn bethe hotay hain .. phr mn assmaan ki taraf dekhti hun tw bht khoibsurat lgta hai mjhy .. bilkul red pink lehren c aa rhi hoti hain badlon ki .. aur red colour ka sooraj nikal rha hota hai aadha un mn se .. mn kehti hun wow kitna pyaara lg rha hai aasman .. tw mn beth kr dekhti rehti hun aik dam white badlon k saath aasman pt Mohammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ka naam likhta hai koi .. aur saath mn suaad bh likha hota hai .. mn dekh kr heran ho jaati hun aur bht khush hoti hun .. aur sb ko andar se bulati hun k wo dekho aasman mn kya likha hai aur jab sb aatay hain tw wo ahista ahista dhundla ho jata hai .. aur phr saray andar chalay jatay hain .. phr mn kehti hun k abhi tw yahin tha.. kese mit gaya .. phr us k bd mn dekhti rehti hun aasman ko k abhi phr likhega kuch .. thori dair bd La Ila Ha Illallah.. likhta hai white badlon se.. mn phr bht khush hoti hun aur sb ko bulati hun lekin un k aanay tk wo badal ban jata hai simple .. phr mn yaqeen dilanay ki koshish kr rhi hoti hun k mene apni Ankhom se dekha hai .. k likha tha .. aur phe eri aankh khul jaati hai ..Ap plz iski tabeer bta den.