Urdu Questions

Rishte ku torna

Q: Mere liye ek rishta aya he or wo larka mujhe pasand nahi he lekin mere maa baap ko bohot pasand aya he or unho ne mujhe force kia he os se shadi karny ke liye. Men un ko mana nahi kar sakti kio ke pehlay kaii baar mene bohot se rishton ko mana kia istikhara sahi na honay ki waja se to wo log mujhse naraz ho gaye is liye men chahti hun ke un ke naraz hoye bagheyr ye rishta khud Tal jaye is liye muje aysa koi wazifa bataiyye aap ki bohot bohot mehrbani ho gi bohot ehsaan hoga.

Kapre owr baalti ku saaf karna

Q: Mey 'Youtube' me taharat ka ek video dekha. Us me ayk mufti sahab ne kaha key agar kisi chadar me kise bacha ne pesab kar diya ho, toh isku kisi ne otha kar rakh diya bad me pak karne ke lye, bad me chadar ko pak karne ke liye ley gaye to osme peshaab ka koi nazar nahi aa raha ho. Mufti sahab ne bataya ke is chadar ko paak karne ke lye kise baalti me rakh kar us baalti me nal khol kar pani bhar kar, us baalti ke upar hath rakhne ke liye kaha, take chadar ka koi bhi hissa baahar na aaye, our phir jab wo baalti pani se poori bhar jayegi, tab baalti se kuch der paani beh jane dene ke liye kaha. Our unho ne kaha ke jab thora pani beh jayega tab chadar paak hojayegi our baalti ka undar ka pani bhi pak ho jayega. Unho ne ye nahi bataya ke baalti pak rehenge ya nahi. Ab mera sawal aapse yahi hai key wo baalti kya paak rehenge ya nahi?

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine ek larki pasand ki thi toh kya woh mere haq me bahtar hai. Janne keliye maine musalsal ayk haftey tak istekhara kiya. In dino me mujhe Jo khwaab aye my unhe samaj nahi saka aap Zara meri madad farmaiye. Pehle khaab me my apne dadi ke Ghar gaya aur mere aankho me aansu thay phir mere chacha ki ladki ro rahi thi toh my ne use god me uthaliya aur ek chota ladka bhi tha jab woh rone laga toh. Us ladki ne use god me uthaliya tha aur woh ladka anjaan tha. Dowsra khwaab me Maine us ladki ko kale kapdo par dekha aur orni hari thi.

Mug ku najaasat se saaf karna

Q: Mera sawal ye hai key agar kise baalti me napaak kapra pani ke sath rakhne ke waja se napaak ho jati hai, toh os baalti se dhone ke lye napak kapra nikaal ne ke bad, os baalti ko pak karne se phele, os baalti me pani lekar agar oske undar mug gusa dene toh wo mug bhi to napak ho jayega na? To os mug ko paak karne ke liye agar mug ke undar pani bhar kar dal diya to bhi oski handle to napak rehenge na, to uske handle ko paak karne ke liye os napaak baalti me dal kar, baalti me pani bhar kar, mug ko pani me duba kar rakh kar baalti ka thora pani beh jane dene se kya baalti ke sath sath mug bhi paak ho jayega? Jitna jaldi ho sake jawaab dijaaega.

Zamin ka problem

Q: Mein aapse madad ki guzaarish karta hoon. Maine apne saale to zamin ke silsile mein saath lakh rupaye ada kiye the paanch saal pehle, magar na hi unho ne zamin hamain di aur na hi paise waapas dene ka naam le rahe hai? Rizq ki bahot pareshani hain kyo ki kaafi mehnat se joda hua paise ada kiya. Aap pareshani ka hal batain inshallah.

Khwaab ki ta'beer

Q: Main apny khawab ki tabeer poochna chahta hn. Main ne apny khawab men dekha k main bike per safer ker rha hn or nahi janta k kahan jarha hn, phir main sochta hn k kisi se pooch lon k lahore jany wala rasta konsa hai, 1 admi se pochta hn k lahore kidr ha wo kehta ha k nahi janta, kisi 2sry se poochta hn k lahore kidr hai to wo mujy rasta btata hai to main kehta hn k acha to yeh rasta hai, main pechy dekhta hn to 1 admi nazar ata hain wo bhi bike per hain, us ne bhi lahore hi jana hota hai to wo bhi yeh bat sun k bike turn kr leta hai, lekin wo rasta lamba ha to main ye sochta hn k yahan kisi hotel men thehr jata hn. Kisi hotel men jata hn to us k mailk se milta hn or sath hi yeh dekhta hn k yahan kisi ki shadi hai to mushkil se hi mujy koi kamra mily ga, lekin hotel ka malik mujy kehta hai k main kuch intezaam kerta hn kuch der bad main apny aapko kamry dekhtahn phir dekhta hn k subah hogai hai or barati or dulha sorhy hain, main yeh sochta hn k mujy yahan ana e nahi chahye tha, phir kuch der baad main apny aap ko lahore ki taraf jany wali gt road per bike chalaty dekhta hn. Mufti sahb barah e karam mujy is khawab ki tabeer bata den. Aapka shukr guzaar honga.