Khwaab ki ta'beer
Q: Maine khwab me dekha hai ke sadak ki ek mod se paani beh raha hai, aur main use paar karke jaa raha hu. Paani jaise barsaat ke baad wala hai jo nadi paar karke sadak or shehar ki taraf aa gaya hai.
Q: Maine khwab me dekha hai ke sadak ki ek mod se paani beh raha hai, aur main use paar karke jaa raha hu. Paani jaise barsaat ke baad wala hai jo nadi paar karke sadak or shehar ki taraf aa gaya hai.
Q: Shariat ke mutaabiq kitna time sona chahye, kitnay ghantay ke neend zaroori hay shariat ke mutabiq?
Q: Agar kapro me mazi lag kar khushk ho gayi ho to kya un kapro me namaz ho jayegi ya nahi?
Q: Muje aap say ek khuwab ki tabeer pouchni thi ke mare chotay mamo (uncle) ne kuab me dekha k mare nana me un ko ek sheep diya mare barey mamo ne liya un say to nana ne bola k yeh sheep tumara nahi chotey mamo ka hai or ek or sheep mare or ek chotey mamo ko diya bare mamo ko nahi diya sheep or yeh khuab marey chotey mamo ko haya jab k mare nana ki wafaat ko 8 saal ho gaye hai plz is ka matlab kiya hai zara bataye ap ki merbani hogi.
Q: Mera do mahine bad nikah hai. Me kaafi dubla patla hoon age 24 wight 50. Humbistari ke liye taqat ki kiya chezen istemal karon baraye maherbani mashwara den.
Q: Once I saw a dream that I am eating the flesh of a pig, Astaghfirullah. I don't remember somebody forced me or I took it myself. I want to know what it means.
Q: Meri umar 32 saal hai aur mai ne juma ki fajar se pehle khawab me apne sar ke baal safead hote dekha. Aur 6 mahino se bahuth museebato se gehra hua hu. Aap se is ki taabir aur ilaan ki maalum kar na chata hu.
Q: Maine ek dream dekhi ke main ek jagah hoon jahan sab kaafir hain. Mai wahan se jana chah raha tha. Wahi pe ek chota sa room tha. Main usme chala gaya. Usme ek old si lady thi, usne andar se gate ko band kar diya aur mera palm dekhne lagi aur kaha ke tum kalme taiyab pe bharosa rakho. Iski taabir batae.
Q: Main kai baar ek jaisa khwab dekhta hu. Hamare ghar ke ek hisse ki taraf se mujhe kuch asebi harkate mehsoos hoti hai, koi nazar nahi aata lekin upar ki taraf se khichav hota hai. Chize uss hisse ki taraf upar ki taraf ahista ahista udne lagti hai. Main kafi darr jata hu aur uski taraf badhta hu, daoraan e khwab main la haola wala quwwata ya koi zikr padhne lagta hu. Main uss aseb ko pakad kar khatm karne ki koshish karta hu lekin neend khulne tak pakar nahi pata. Khwab me main apne ghar walo ko uss jagah se door karne ki koshish karta hu. Ye khwaab kai salo se waqfa waqfa me ata rehta hai, ghar ke ek hi hisse ki taraf mujhe yeh aaseb nazar aata hai. Baraye meherbani iski tabeer bataye.
Q: Mere naani ne ek khwaab dekha hai woh uske bare me bahot pareshaan hai. Baraye meherbani uski tabeer bataye. Mere naani ke ammi abbu bhai ka inteqaal ho chuka hai, mere naani apne bhai ke kaafi qareeb they, naani ne khwab me apne bhai ammi aur abba ko dekha, naani ke bhai ne khwab me naani se kaha ki unhe teen chheze chahiye.
1) Unke bhai ne 3 gram sona manga aur kaha ke agar mil jaye to unka kaam ban jayega.
2) Dusri cheez naani bhool gaye.
3) Thessri cheez ke bare me unke bhai ne kaha ki woh unke ammi naani ko bata dege. Naani kafi dino se iss khwab ko lekar kaafi pareshaan hai. Plz iski tabeer bata dijiye.