Urdu Questions

Khwaab ki Ta'beer

Q: Meri cousin nekhawab me deakha k wo or usk k do dost sair ko jate hain wahan phr 2 draone prinde ajate hainjink qad lambe or bhari jisamat. Phir wo log darkmare kabhi kisi jaga chupte hain kabhi kisi jaga phr achanak ghr me ja k chup jate hain wahn eak orbandeneapne bachon sath panah li hoti hai phr wo prinde usk bachon ko utha le jate hain phr meri cousin ki aankh khul jati hai.

Khwaab ki Ta'beer

Q: Mujhe khuwab ki tabir bta dien. Mene subha 8.30 py dekha tha 2 bandar hen ek chota ek bara khel rhe thay apas mein. Phir achanak mjh pta nahi kia hua mjuhe bohot gusa aya. Ek bandar nazar aya uska mu mene mene kas k band kia aur kholny nahi dey rahi thi bht guse mein thi.

Shaadi ke lia wazifa

Q: Mujhe aap sai help chahiye ke mujhay koi asia wazifa batayein shadi ke liye jissaay risthay ana start hojaye. Mere age 26 hogai hai or aaj tak koi rishta nahi aya na hi koi daikhney ata hai. I am in great trouble.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein real life mein kafi pareshan ho stomach ki waja se. Meri neend bhi kharab hochuki hain. Yani meri puri health kharab hain. Mein ne khwab mein 3 different khwab dekhay hain. Ayk dafa mera ek class fellow cycle pe ja raha hain to usne ne mujehe kaha keh naraz mat hona theek hojao gay. Isi tarah pher ek aur dream aya usne bhi kaha keh theek hojao gay. Phir ais ke baad mera ek teacher ayaa khwab mein jo mere high school ka teacher ta aur drill teacher ta to usne mujse pucha ke kia problem hai tum ko to mein ne kaha ke sir mujehe stomach ki takleef hain to usne kaha keh yeh theek hojaye ga lekin time lega thora. Agar possible ho to tabeer share kare please.

Khwaab me saamp ka dhekna

Q: Main bohot pareshaan hun. Aap please jald az jald is ki tabbeer bata dain takay main pareshani say najaat paon. Mainay khawab main saanp (snake) daikhain hain. khawaab ki tafseeel darj zail hai aur jald say tabeer bta dain tow apki bht shukar guzaar hungi.

Main dakhti hun k mairi ami mairay sath baithi hoti hain un k hath main koi 10 say 15 saanp (snake) hotay hain.  Aur main daikh k darti hun q k un main say ek saanp bar bar meri taraf a raha hota hai. Meri ami kehtin hain k daro nai ya dasnay(katnay) walay saanp nai hain. Aur itni dair main mujhy wo kehtin hain k jao aur saanp (snake) lar k ao fridge say. Main dartay janay lagti hun k itnay main woi snake (saanp) mairay pass ata hai aur ek dam marnay lagta hai lakin main bach jati hun aur ami ko kehti hun k mainay apko kaha thaw. Phir mairay bhai us saanp ko pakar k lay jatay hain aur mujhy ami aur saannp lainay bhayjti hain fridge main say main fridge kholti hun tow smnay
saanp paray hotay hain bht saray zinda ek tokri main aur dar k band kar daiti hun k nai nikaalti inko aur khana wagaiar sb fridge main sath hi rakha hota hai un k. Please main bht pareshaan hun ap jald az jald iska jawab dain tow main apki bht bht shuka guzaar hun gi.. aur ya bhi bata dain ke mainay ya khwab ghar main bhi sunaya hai tow is ka koi asar tow nai paray ga bura?

Soodi karobaar

Q: Mene phly b question kia tha mgr ap ne kha k swal waadih ni ha. Actualy me pharmaceutical compny me kam krta hu hmri compny car ki facility bhe deti ha car k liye policy ye ha k car ki downpayment mene krni hai us pe jo markup bnta ha jo bank hm se ly ga wo markup compny pay kry ge kia is trha se bank se car lena jayez hai kiu k mjy sood k bary me confirm krna tha k us ka gunah mery sir ho ga ya compny k sir. Farz kr len k car ki qeemat 10,00000 ha. Compny ne leasing amount fix ki ha k 5 lakh tk dy ge har mah instalments ki shakal me. Ab baqi jo 5 lakh bachy wo mene pay krny hain downpayment ki shakal me. Jo mene pay krny hain wo kisi se udhar ni lia apni
saving se pay krny hain.compny loan bhe dy ge jo har mah 5 hzar kr k mri salary me se deduct kr ly ge. Bs mjy ye clear kr dain k aisi surat me sood ka maamla kia ho ga. Kiu k mne to sirf downpyment krni ha. Instalment markup ye to compny pay kr rhe ha. Ab mjy car leni chahye ya mjy koi mshwra dain. Agr me sara apny tarf se krta hu to down payment to mene daini he hai sath me mjy har mah instalment aur markup bhe dna pady ga yanh sood mjy khud he dna pary ga is case me markup instalment compny pay kry ge. Bs mjy yhi confusion ho rhe ha k car lu ya na lu ap thora clear kr dain.