Urdu Questions

Taubah karna

Q: Agar kisi insaan se bachpan me koi galti se gunah hojae jis se us pe dagh lag jae yani uske sath badfali hoi ho to kia wo apni zindagi aam insanon ke tarh zindagi guzar sakta he or kia us dagh ka koi illaj he is bare me tafseel se bataen.

Khwaab ki Tabeer

Q: Main ne aik raat Allah se dua ki ke meri shaadi kis sy ho ge, mujy khwaab main bata do. tTu main ne osi raat khab dekha ke main aur meri sister aik darga jaty hain, bhot mushkil raasta hota hai, wahan par aik adme ke gird log jama hoty hain aur os sy log sawal kar rahy hoty hain. Maine us se ja ke pochti hoon ke mere shadi kis sy ho ge, tu wo mayry dono hato main motion k pholon k gajry pehna data hai. Phir mery aank khol gae. Khawab ki tabeer bata dain.

Khwaab ki Tabeer

Q: Maine ek khawab dekha subha fazar ke time usmain yeh tak ek shaytan mujhe marne ke liye mere peche padha aur main bhaag raha hu toh usse bachne ke liye mujhe ek buzurghane din ki mazar mili aur main waha jake bachjaya shayatan mujh pe hamla nahi kar paya. Yeh mera pehla khawab. Dusra khawab yeh tha ki main kabristan main baad jamaat namaz ada kar raha hu pls aap mujhe is ka matlab batadijiye?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khawab mein kisi ka qatal kar diya hai aur uss ka bhai mujhay qatal karnay kay liye aaya hua hai mere pass aur mein uss say kehta hoon kay mujhay maro kiun kay mein nay tumhare bhai ko mara hai plz mujhay mar do tou uss ka bhai mujhay buhat marta hai buhat buray tareeqay se mar raha hota hai lekin mujhay kuch nahin ho raha hota aur thodi der baad who mujhay marna chod deta hai aur woh kehta hai kay woh ab mujhay nahin marey ga balkay woh tou mujhay apnay saath hospital le jata hai........tabeer kia hai?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khawab dekha kay hum sab ghar walay kisi kay ghar gaye huay hein aur hum un kay ghar poonchtay hain aur sa khana khanay chale jaate hain ander aur mein un se kehta hoon kay mein peshaab kar kay aata hoon aur mein khule aasmaan kay neechay un kay ghar mein ghaas (grass) par peshaab karta hoon aur un ka beta dekh raha hota hai mujhe peshaab karte huay aur woh makar hansi hans raha hota hai aur aisi awaz nikalta hai kay na karo koi dekh le ga..........kia tabeer hai?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khawab mein dekha kay tv pe dikha rahe hote hain kay europe ya france mein koi bomb blast hua hai aur hua tha us kay mujrim pakre gaye hain aur hum sab apne ghar par kehte hain kay kaun thay yeh log aur phir pati nahin kia hota hai woh jaise hamare ghar mein woh 12 ya 12 saal ka ladka hota hai pata nahin kaisr hamare ghar aa jata hai aur suicide karne ki koshish karta hai aur uski ungli pay zakham buhat sakht ho jata hai aur usko sab hamare ghar par zakhmi halat mein usko apne kamre mein le jate hain aur ja kar usay leta dete hain aur buhat se log aaye hote hain hmarae rishte dar waghera..........kia tabeer hai?