Husband ke liye wazifa
Q: Mujay aap se apnay husband ke liye wazifa ka pochna ha. Alhamdulillah mei un k sath boht khush hon aur unki sub adaat achi hain. lekin unki do adaatein boht buri hain aur mujy boht takleef deti hain. Pehli tu yeh k wo namaz nahi parhtay. Ajkal ramzan me bi me un k samnay namaz ada kerti hon aur minnatein ker k namaz ke liye uthati hon. Allah ka khauf dilwati hon kabhi. Boht kuch keh k aik namaz ke liye razi karna parta ha. Phir parhtay hain. Aur dosri adat boht galeez hai. Unhay galeez websites dekh k masturbate karnay ki adat ha. Halank mei ne apnishaadi se le k aj tak kabhi unko mana nahi kia. Kisi bi haal mei inkar nahi kia. Hmara relation bi acha hai. Lekin unki ye adat nahi jati. Ramdhaan mei b movies dekhtay hain. Rozay ki halat mei. mjy khauf aata hai k Allah pak un se naraz hon gay. Please mjy un k liye koi qurani wazifa btaein k Allah pak unko naiki ki hidayat dain, namaz ka paband bnaein aur gunnah se dour ker dain. Allah pak apko boht jaza dain. Ameen