Urdu Questions

Khwaab ki tabeer

Q: Hum rehtay bhi madinah shareef main hain. Mainy khawab dekha k mere abu umrah k liye ja rahay hain. Mainy abu jaan ko ihraam main dekha. Main unkoo koch dawaiyaan daiti hun k rakh lain tow wo rakhnay say inkaar kar daitay hain aur kehtay hain mainy ek rakh li hai. Aur wo mujhe dikhatay hain ya dawai rakh li aur phir main kehti hun k abu ji sugar ki dawai, tow abu kehtay hain k kal to a jana hai maine koch nai hota. Please is khwab ki tabeer bata dain.

Champal ki chori

Q: Hum Masjid e Nabawi mein jaaty hai ya umra karne jaaty hai wahaan hamari champal chori ho jaaty hai majbooran hum kisi doosry ki pehn kar aani parti hai kyun k haram se bahar bus stop tuk kaafi faasla hai garmi mein pedal nahi chala jata. Yeh chori ki zimmah mein to nahi aata?

Qaza namaaz

Q: Meri ammi ka inteqaal ho gaya he. Mera sawaal ye he ke kya me jo farz namaze parhti hoon uska sawab unka bhee pohncha sakti hoon? Unki bohat saari namaze qaza he. Mujhe pata he ke aulaad ada kar sakti he. Meri itni haysiyyat nahi ke me unki qaza namaze parho kyonke meri khud ki bohot saari qaza he. Aap baraaye meherbaano koi hal bata de. Kya me apni qaza chor ke unki parh sakti hoon. Yu namaze qaza huwi kyonke wo bohat beemar rehti thi apni tabiyat se pareshan aur bohot dawaaye laiti thi is wajah se rozay bhee qaza huwe. Baraaye meherbaani koi hal bata de.