Biwi ka dhoodh pina
Q: Bachae ki padaesh kae badd biwi ka doodh pina jaez nahin ha, kyun ke biwi ne bachae ko feed karwana hota ha 2 saal tak.Kya 2 saal ke bad biwi ka doodh pina mia ke liye jaaez ho ga?
Q: Bachae ki padaesh kae badd biwi ka doodh pina jaez nahin ha, kyun ke biwi ne bachae ko feed karwana hota ha 2 saal tak.Kya 2 saal ke bad biwi ka doodh pina mia ke liye jaaez ho ga?
Q: Please mujhy is khwab ki tabeer bata dain mainy khwab main daikha k meray ghar mai pani bhar gaya hai bohot zyada shaid barish ka ho mujhy yad nahi, aur us khwab mai mainy 2 namazain bhi parhien during my periods aur bad mai mujhy yad aya k mainy namaz to parhni nahi thi aur mai pareshan bhi thi.
Q: Mene mbbs kia hy aur ab fcps ki tayari kar rai hun fcps ka imtehan june mein dia tha jo pass na hua. Ab dobara november mein dy rai hun. Mehrbani kar k koi dua bata dien jis sy mera hafiza be taiz ho aur me apna november wala imtehan b pass kar sakun.
Q: Mery uncle ney meri aunty ko talaaq di lekin meri aunty kay samney nahi balkay apny bety kay samney kay main ney teri walida ko talaaq di or phir bad main hum sey yeh kaha kay yeh fail aun sey ghussey ki hallat main hua hai kya is surat main talaaq ho gi agr nahi to kya kaffara ada karna ho ga?
Q: Meri dil me hamesha gabrahat, preshani, waswasa, tars hai or meri dil bahot zor se dub dub kamrta hai q baat be nahi hoti hai wasi wasi estara meri saat hota hai agar koi Qurani dua ya mashwara ho to zuroor batadejia.
Q: Main nay khuwab dekha k ek admi or ek aurat hai admi ko main marnay bhagti ho tu wo bach jata hai nikal jata hai or aurat ko pakar layti hoon or bohut bohut bohut marti hoon ussko phir ek shakhs dekha jo mujhay khuwab may lag raha hai k ye nabi pak hain jo mujhy keh rahay hain ke bus chore do is aurat ko or nagawari ka ehsas hai uss aurat ke liye or chehra mubarak nahi dekha. Main nay chehra mubarak doosri taraf kar k ye bola hai nabi pak nay or akhir main may uss aurat per bara sa pathar phainknay wali ho jab ap nay ye farmaya ke bus chore do iss ko or main nay un k kehnay per chore diya.
Q: Hamare paas ek qurbani ka bakra hai, us ka kaan tora sa kat gaya hai waja maaloom nahin ke kese kata kia us ki qurbani ki ja sakti hai?
Q: Kya ba'zo ki dua lene ke liye unke pair chuna Islam me jaiz hai? Maa baap ke ya saas sasur ya aur koi buzurg ke pair chuna jayaz hai?
Q: Kia syeda larki gera syed larka sa shadi kar skti ha?
Q: Mujay aap se apnay husband ke liye wazifa ka pochna ha. Alhamdulillah mei un k sath boht khush hon aur unki sub adaat achi hain. lekin unki do adaatein boht buri hain aur mujy boht takleef deti hain. Pehli tu yeh k wo namaz nahi parhtay. Ajkal ramzan me bi me un k samnay namaz ada kerti hon aur minnatein ker k namaz ke liye uthati hon. Allah ka khauf dilwati hon kabhi. Boht kuch keh k aik namaz ke liye razi karna parta ha. Phir parhtay hain. Aur dosri adat boht galeez hai. Unhay galeez websites dekh k masturbate karnay ki adat ha. Halank mei ne apnishaadi se le k aj tak kabhi unko mana nahi kia. Kisi bi haal mei inkar nahi kia. Hmara relation bi acha hai. Lekin unki ye adat nahi jati. Ramdhaan mei b movies dekhtay hain. Rozay ki halat mei. mjy khauf aata hai k Allah pak un se naraz hon gay. Please mjy un k liye koi qurani wazifa btaein k Allah pak unko naiki ki hidayat dain, namaz ka paband bnaein aur gunnah se dour ker dain. Allah pak apko boht jaza dain. Ameen