Urdu Questions

Khaab ki Tabeer

Q: My baba fouth 19 din hoowa maina dakha ke mara baba my eek motton ke shop ma aak qurbani ka hasa laaraha. Aur aak aadmi mara baba ko aak name bola aaur dua kaalela. Mare baba usssa gala milkar roorahaa. My bola uss aadmi saa ka mara baba magrib ko intakhal farmainga.

Paan ka khaana

Q: Mera sawal ye hai ke kia zarda (tobacco) ka istmela makru hai ya haram? Main namaz ka paband hun magr mujh me ek kharab aadat hai ke main pan khata hun to meri ibadat khubul hai ya nahi?

Istinja ke ba'd peshaab ke qataraat nikalna

Q: Mujey ayk masala he jis ki wajah se main bohot pareshaan hoon ke main kisi bi sorat me apni namaz ko zayi karna nahi chahata. Mere har dafa peshab key baad 2-3 yah is sey ziyaada qatrey nikaltey hain. Aksar jub main wudu karta hoon. Brayimeherbani mujey ye bata de ke isi surat main namaz ka kia hukam he aur kya is ki wajah se kaprey napak ho jatey hain? Kyn key me daftar me ho ne ki waja se bar bar kaprey nahi badal sakta.

Rishwat

Q: Agar koi sarkari job Hasil karna chahe or wo paison se mile to kia pese dekar nokri le sakta he ya nai is bare me tafseel se bataen?

Khaab ki Tabeer

Q: Mai nay ajj subah takreeban 10 bajay k time mai aik khuwab dekha mai maulana tariq jameel sahab k bayan aksar sunta ho ajj mai nay dekha k mai maulana tariq jameel sahab k saath betha ho aur woh mujhhy kuch bata rahay hain itnay mai hamaray samnay aik aurat akar bethti hai woh batein karna shuru kar daiti hai hai aur batein kartay kartay uski shakal aur awaz change ho jati hai aur mujh per attack kar daiti hai phir maulana sahab bhi ayat ul kursi padhna shuru kar daitay hain aur mai bhi mai zor zor say padhta hoon tu uski girift mujh per say kamzoor padhti hai aur mai usko seedhay hath say ghooma kar door phenkta hoo aur woh bhag jata hai mai maulana tariq jameel sahab say kehta hoo app itnay aram aram say padh rahay thay shukar mai nay jaldi padh liya aur us shaitaan ko bhaga diya aur ussay jatay howay wada bhi liya tha k abb tu dubara nahi aye ga aur kisi ko pareshan nahi karay ga jis per maulana nay kaha yeh phir ajaye ga buhut taiz hotay hain iska matlab kuch samjh nahi aya baraye meharbani iska jawab bataye gay.

Phone par talaaq

Q: If husband says: "mai tmhe talaq dai doan ga jao tmhe ho gae" has talaq occurred? And after some days he says "mai tmhe talaq daita hoan" all this hapened on the phone. 

Na mahram mard se baat karna owr ghalat talluq rakna

Q: Mai buhut bari gunaahgaar hun. Mai nay apnay shohar ka dil doosri dafa buhut buri tarah say thora hai, mai aesa nahi chahti or na hi ye jaan k karti rahi lakin pata nahi mujh say kyun ye dobara sarzad hua. Mai apnay shohar k peet peechay doosray mard say baatein karti thi or ye shadi k baad doosri dafa hua hai or dono dafa mai pakri gaye. Is dafa mera shohar mujhay maaf bhi nahi kar raha, mera shohar buhut hi shareef or acha insaan hai, mufti sb mai abhi bhi osay poora sach nahi bata paa rahi kyun k wo mujhay chor dai ga. Mai os k saath rehna chahti hun, mai sirf os say mohabbat karti hun, mujhay koi wazifa batayen k mai gunaaho say bachi rahun. Mai nay Allah say sidq-e-dil say tauba kar li hai, kasam thornay ka kaffara bhi ada kar rahi hun, mujhay koi wazifa batayen k mera shohar mujhay maaf kar dai or hamari zindagi theek ho jaye. Maali haalat bhi buhut kharab hain or meri do bachiyan hain wo bhi mujh say dur hain. Please madad farmaye.