Urdu Questions

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khwab dekha keh mein rastay pe ja raha ho aur rastay mein half cream ka ek kuta nasar ata hain to woh kuta mujehe kat ta hain ungli per aur khoon b thora sa bahar ata hain ungli se aur waha pe aur log b hotay hain jo kutay pe hamla kartay hain aur kutay ko mujse hatatay hain yeh mein ne nahi dekha keh woh log kutay ko mar
daltay hain ya nahi aur waha pe dawaee ya pharmacy b dekhai deti hain dream mein aur mein doctor ko kehta ho keh plz mujehe injection laga do takeh kuta ka germs se bach sako mein sirf syringe hi dekhta ho ek small needle wali syringe nazar ata hain. Mein ne injection lagatay hoi nahi dekha hain kio keh mein pher jag gaya aur ye dream mein ne namaz fajir se pehle dekha hain. 

Khwaab ki Tabeer

Q: Mene ap sy apni sister k khawab ki tabeer pochni thi. Baat yeh hai k 1 2 din pehlay wo chat par leti hoi thi tu unko yeh khawab aya sham ka time tha khawab yeh tha k wo charpae par leti hoi hain or asman par aik baaz ur rha hai k achanak sy wo baaz nechy ata hai or akar meri sis k kandy(sholder) par a kar beth jata hai or boht khofnak nazro sy dekhta hai meri sis dar jati hain or koi sorat parti hain tu thori dair bad wo baaz ur jata hai. g yeh khawab tha or han yeh b btana tha k meri sis married hain or wo pregrant b hain plz mujy is ki tabeer btaye.

Khwaab ki Tabeer

Q: Yeh khawab mai nai waqat e sahar daikha kai mai aik boht bari factory mai hon aur maira aik collegue hai mai usay kahtii hoon usay lai aye jisay mai pasand karti hon wo usay meray ghar lai ata hai gari par lakin wo andar nahi ata mai apnay collegue ko  kahti hon kai aap unhay kaho mai nai wapis jana hai aap yaha intezar kar lai yani kai mairay ghar par ruk jaye jinhay mai pasand karti hon wo andar a jatay hai mai unhay khanay kai liye stue daiti hon wo un ki shirt par gir jata hai mai kahti hon ap shirt do mai dho kar press kar daiti hon wo mairi walida ko paisay dai rahay hotay hai lakin phir nh daitay wo mughay apni shirt utar kar daitay hai mai usay dho kar press kar daiti hon phr wo mairay sath kahi bahir a jatay hai mai kahti hon rikshaw par chalaty hai wo kahatya hai bike par chalai gai aur maiary sath ho kar baitho main un kai sath bike par baith jati hon phir wo mghay aik dukan par lai jatay hai wahan wo aik pink bed sheet khareedtay hai jis par baray piaray phool hai mai aik green colour ka chora ribbon daikh rahi hon wo mughay gahra sabz chora ribbon just like dupata khareed kar daitay hai Phir mai aur wo ice cream bhi khatay hai Is ki kya tabeer ho ge plz zaroor bataye.

Khaab ki Tabeer

Q: Yeh khawab mairi walida nai daikha hai kai unhay un ki khala zad bahnain Paisay ki bhari thalian dai rahi hai aur mairi marhooma nani jaan mari ammi ki marhooma khala jaan aur khaloo sab waha hai mairai walida ko lagta hai kai koi un sai wo paison bhari thalian cheenna Chahta hai aur un ki khala zad bahnai kahti hai kai itnay paisay janay kaha kharch kar daiti hai mairi walida phir maiari walida aik khoobsurat locket rings aur ear rings khareedti hai phir manzar tabdeel ho gaya kai mairai rishtay ki phopho ka baita aur us ka cousin hai wo hospital mai bed par foam matress dal rahay hai to nurse ubhay mana karti hai kai yeh hamara kam hai aap ka nahi is khawab ki kya tabeer ho gi? 

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khwab dekha keh meri maa aur waha pe koi aur aurat b thi jo mujse pani mang rahi ti to mein pani ek dekhche mein lata ho aur dekhche ka cover hata ta to usme glass hota hain aur mein ne ais dawran news paper b dekha jo glass se chemta huwa ta to mein ek glass pani ka us aurat ko deta ho to woh peli ti hain.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khwab dekha keh mein ur (fly) raha ho ek darkhat samne ata hain to woh darkhat shahtoot ka hota aur sufed toot hotay hain liken woh lamber wale shatoot nahi chotay wale jo aloochay k tarah k hotay hai to woh sufed wale mujehe pakay hoi nazar nahi atay to mein kisi aur darkhat k kareeb jata ho to kya dekhta ho waha us darkhat mein black toot hain aur pake hoi toot hain to mein khane lag jata ho aur bahut ziyada khata ho to waha pe ek aurat hoti hain unka shohar foreign country mein hain to mein usay kehta ho keh ap apne husband ko be yeh toot bejde kio ke waha pe yeh kafi mehange hotay hain to woh aurat mujehe kehti hain okay mein sochti ho. Please agar is ki koi tabeer hain to bata de. Shayed is mein mere bemari se shifa ki taraf koi isharah ho?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khwab dekha keh mein namaz parne ja raha ho aur waha pe ek aur b admi hota hain to mein usay kehta ho chalo namaz partay hain to mein hum namaz keliye karay hotay hain, kya dekhta ho keh mein hi imam ho to mein surah fatiha parne lagta ho jaisse faraz namaz mein surah fatiha parte hain waise hi mein surah fatiha parne laga,2 rakat namaz partay hai lekin mujehe aisa feel hota hain keh woh admi mujehe sahi follow nahi kar raha hain namaz mein. mein to namaz complete karta ho achi tarah per jo dosra hota hain woh mujehe sahi tarah follow nahi kar raha hota.plz agar ais ki tabeer hain to share kare thanks.baki Allah behtar janta hain.

hosake to mere liye dua b karnna keh mujehe Allah talah achi sehat naseeb farmay. Ameen.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mairi walida nai khawab daikha kai Elaan husa ab har ghar mai gandum (Wheat) ho ge Phir unho nai daika kai hamari bathak mai sunahri gandum ka dhair hai aur chaki lagi hui hai aur atta pis pis kar nikal raha hai. Please is ki tabeer btaye ga Khuda aap ko Jaza e khair dai.

Khwaab ki Tabeer

Q: Ye khawab mairay cousin nai daikha kai wo jisay chahtay hai us larki nai parrot Green suit pahan rakha hai us ka libas bareek hai wo mairay cousin kai samnay khari hai phir wo larki aur maira cousin bike par ghomnay chalai jatay hai wo fields wali side par jatay hai wahan 2/3 admi kharay hai maira cousin un sai bat karta hai wo larki bhi wahi sath khari hai phr maira cousin ghar a jata hai aur wo larki ko waha sai lana bhool jata hai akela ghar a jata hai wapis anay par wo pareshan hota hai kai wo larki ko wohi bhol aya phir wo usay dhondnay jata hai boht dhondta hai magar wo nahi milti jab wo ghar wapis ata hai to wo larki aur larki ki walida us kai ghar cousin ki walida aur family kai sath baithi hans hans kar batain kar rahi hoti hai is khawab ki kya tabeer ho gi? 

Ghusse me teen talaaq

Q: Mera sawal mere parents ki divorce ke hawale se hai mere father ne meri mother ko takreeban dair saal pehle gusse mein talakh dedi the 3 bar keh kar ke mein (tumhe talakh deta hoon talakh deta hoon talakh deta hoon) lekin us ke 2 ya 3 din baad unhone rujoo karliya yeh keh kar ke gusse mein talakh nhi hoti. to kiy talakh nhi hooi? kiya yeh rujoo jaiz tha? 3 din pehle unhone phr meri mother ko physically abuse kiya or usi gusse ki halat mein 5 bar kaha ke (mein tumhe talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon) to kiya talakh hogai? or phir unho ne 3 din baad rujoo karliya or meri mother agree hien unke sath wapiss shadi shuda zindagi guzarne ke liye... kiya mere mom dad ek dosre ke liye halal miya bv hein? or kiya is tarah baar baar gusse mein talakh deke ruju karna jaiz hai? agr nhi to please Quran or sunnat ki roshni mein batiyeh ke meri mother ko kiya karna chaiyeh?