Urdu Questions

Ihtilaam

Q: Mera aap se sawal hai 1 ager neend main se uth ker behuda khuwab bhi yaad nahin ho magerjub apni sharam gah ko dekhe tou uss pe pani numa cheez lagi hui ho yani shayad mazi ya mano ho tou kya ghusul farz hoga? 2 neend main behuda khuwab bhi yaad nahin ho or jub aankh khule tub apni sharam gah ko dekhe tou uss pe mani ya mazi lagi wih ho mager kappron pe bhi koi zaheer mani ka nishan nahin ho tou kya ghusul farz hoga? 3 ager behuda khuwab dekhne per jub aankh khule tub shaq ho ke yano 2 taraf shaq ho ke khuwab dekha hai ya nahin mager sharam gah pe mazi nuuma cheez lagi ho tou ghusul farz hoga ? 3 ager behuda khuwab aye mager kappron pe suuke weh nishanat hon or sharam gah pe koi mani ya mazi ka suka wah ya geela nishan bhi nahin ho tou ghusul farz hoga ? ager koi aise napak kappre pehn ker koi shaks soye jin pe pehle se hi mazi ya mani ke nishanat hon ab jub woh soye tou behuda khuwab aye mager woh shaks ulhaj jaye ke mere kappre tou pehle bhi mani ya mazi ke nishanat the ab usse kis taran pata chale ke meri mani ya mazi kharij hui hai halanke uski sharam gah pe bhi koi suuka wah ya geela nishan nahin ho tou aise surat main ghusul farz hoga? 

Na mahram aurato se purdah karna

Q: Apni umar se 10,12 bari na mehrram aurat ya chotti na mehrram aurat ko dekh sakte hain baghair shewat ke or bol sakte hain uun seaise hi aurat bhi apni umar se 10,12 saal baray ya chote na mehrram ko dekh sakti hai baghair shewat ke or bol sakte hain un se? Apne na school ya kisi bhi taleemi idare ke na mehrram ustad ko dekh sakte hain baghair shewat ke or uun se bol sakte hain?

Kya agar cheenk aajae dua karte waqt to ye dua ki qabooliyat ka isharah he?

Q: Mera sawaal Yeah hai k mai ne Aksar logoon se yeah kehte hoe suna hai k Agar Allah pak se dua mangi jae to Suchii niyat or khuloos dil k sath dua mangi jae,or Dua mangte Waqt Achanak cheenk aajae to Is ka Yeah dua kii qabooliyat ka isharah Hota hai. Mjhe yeah Jaanaa hai k agar doraan e Dua mangte waqt kisii Ko achanak se cheenk Aaajae, to kia Dua kii qabooliyat k aasar hote hain?

Ghusal ke muktalif masaail

Q: Mera sawal hai ghusul kerte waqt apni sharam gah ko chupane ke liyeh konsa kappra pehnna chahiyeh konse kapprey se ghusul kerte waqt apni sharam gah chupana sunnat hai? Or ghusul karte waqt ghusul khane ke ander bismillah perh sakte hain koi dua, surat, hadees pak ghusul, kerte waqt perh sakte hain? Or ager ghusul kerte waqt kappra nahin pehnen mukamal nange hoke ghusul karen tou gunnah mile ga? Or ager roza ho tou ghusul ya wudhu kerte waqt koli karen or gharare karen halak ke ander pani lekar jayen naak main pani dalen or ager naak main pani dalte waqt pani dimam, muun main chala jaye or sidha bahar nickle muu se tou wudhu tuut aye ga kya or ager ghusul kerte waqt aisa ho tou dubara ghusul karen or ager misal tor ghusul main wudhu kerna or sir dhona bhuul jayen tou baad main ghusul khane se nbahar nickal ker dho sakte hain ya phir dubara ghusul khane main jaye or dubara se ghusul karen? Please jawab tafseel ke sath dain asaan urdu zaban main. Maaf kariyeh ga sawal kafi lamba hogaya bus masail ziyada hain. Hum aap ko dua main yaad kerte hain aap bhi mujhe athar ko dua main yaad kiya karen shukriya.

Tayamum kin kin cheezon se kiya jasakta hai?

Q: Mera sawal hai tayamum kin kin cheezon se kiya jasakta hai uun tamam cheezon ke namon ki list asaan urdu zaban main batayen . Or kin cheezon se tayamum kerna sunnat hai or kin cheezon se tayamum kerna mustahib,masnoon,mabnuh hai? per,marble,tiles,chuuna,mitti,car ka payedan,loha,silver,gold inn chezon se tayamum kerna kaisa hai or gili mitti,gile chune,gili zameen,gele marble, gele tiles se tayamum ker sakta hain? Or mufti sahab maine books main tayamum kerne ka tareeqa sahih nahin aata aap aisa karen tayamum karne ka amali tareeqe ki video send kerdain bohoot acha hoga.

Khwaab ki Tabeer

Q: Mujhay apni khuwaab ki tabeer ke baray main poochna tha. Meri ammi ka dec 2012 main inteqaal huwa hai aur main bohat pareshan rehti hoon ke wo theek hain unpay azab-e-qabar to nahi par raha. Main ek din durood shareef parh rahi thi ke ankh lag gayi kuch seconds ke liye aur mainay app Rusool saw ko khuwaab main dekha sirf tangain mubarak khuwaab main dikhin wo ek qabar ki seedhay haath ki taraf kharay hain aur wo qabar ki taraf jhuk rahay hain. Meri khuwaab ka kya matlab hai? meray dil main aa raha hai ke ye ishara meri ammi ki taraf hai lakin main ghalat bhee ho sakti hoon. Kya aap meri khuwaab ka matalab bata saktay hain please?

Picture ko facebook se nikaalna

Q: koi aisa software aap ke zehan main ho jo PICTURE KO FACEBOOK SE REMOVE KARE q ke main id banaye thi facebook pe galti ki thi main facebook pe kisi cricketer ki pic rakhi hai ab aap madad karen please mere ager aap ko ilam nahin ho tou kisi or software banane wale ya kisi or system opereter se puchwa ke batadai please.