Namaaz

Sunnat-e-muakkadah aur Sunnat-e-ghair muakkadah me farq

Q: Masla ye he ke sunnat-e-muakkadah owr sunnat-e-ghair muakkadah me koi faraq he ya nahi? Kuch saathi kehte he ke sunnat-e-muakkadah yani zuhr ki chaar sunnat me do rakat ke darmiyaan jab qa'da karte he to attahiyyaat sirf parhenge aur sunnat-e-ghair muakkadah yani esha ya asr ki chaar sunnat, us me do rakaat ke darmiyaan me attahiyyaat ke saat durood shareef bhi parhenge. Is ki wazaahat karde. Agar koi aur farq bhi ho to bata dijiey.

Namaaz me satar ko daampna

Q:

1. Baraaye meherbaani bata dijiye ke hath se neeche kitne inch baazoo ka hisa aur gardan ka or gardan se neeche gale ka hissa or kaan ka kitna hissa nazar aaye to namaaz nahi hoti?

2. Ayk aysi chadar jis me se bohat halka sa jism nazar aye or jism ke rang ki samaj na aye ke nazar aaraha he ya nahi ya bohat halka nazar aye to kya is kapre se namaaz ho jayegi?