Phone par teen talaaq
Q: Maine 2 saal pehle 1 larki se court me nikah kiya kyu k na os ka baap shadi k khilaf tha. Maine jaise hi nikah kiya oss us k ghar main chor diya bagher hath lagaye. Main kisi ki badnami nahi chahta ta bs sirf majboor karna chahta ta us k waled ko. Lekin wo pir b na mana aur wo waha se apni beti aur tamam ghar k afrad ko le kar afghanistan chale gaye. (Sorry main likna bhool gaya tha unka taluq afghanistan se ta.) Mere ghar me b sab log muje har waqt majboor karte k ye nikah tor do aur us k ghar main bi yahi haal tha. Akhir majboor hokar maine osse phone par 3 dafa talaq ka kaha. Mufti saab main ye jana chahta hoo k kia main dobara uss larki se shadi kar sakta hoon?