Urdu Questions

Khwaab me intiqaal se muraad

Q: Mene khwab men dekha ke meri 2 cousin jo k apas m behne hen unki death hogai hy. Sab log preshni men hen aur men bhi buht ro rhi hu aur dil me soch rahi hu ke meri khala bichari ka kia hoga. Phr usi khwaab men ek larki akr wahin pe bethi ek aurt se kehti he ke aap ke filaan rishtedar ki bhi death hogai. Mujhe buht preshan kia hy is khwab ne. Istarah ke khwab kis waja se aty hen. Death ke khwab meri doosri relatives ne bhi dkhe hen. Baraye mihrbani jaldi jawaab den.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me na Khwab ma Dekha ka ma Quran Pak ka last page Par rha hoo likin buth mistake yani Ravangee sa nahi pr rha aur mare wife mare muj Correction krva rahi ha. Braha kram muj is ke Tabeer bata dain.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mera ek khawab hai jo bahut saal phele dekha tha lakin aaj bhi woh khawab mere demagh me bait gaye hai. Khawab hai ke Mein ek dargha me hoon Jo Bangalore ki mashur Dargha Hazrat Tawakul Mustan Sha(R.A) tu ek dum Dargha ki Mazar woh ek dum khool jati hai wahan par mein ekela hoon us mazar mein ek Reshmi Roshani sufaid Libaas aur Noorani chera dahadi aur sar k baal lambe sufaid Jo ek bhi black nahi jaise k baal bhi dadi Reshmi hoon ek dum straight so kar hain aur ek dum utkaher bait jate hein aur apni gardhan phira kar mujhe dekhtai hein mein unko dekhar dar ke mare aankh khuljati hai. Mufti sab aaj bhi mujhe woh khawab yaad hai aur woh noorani chera bhi.

Ghussa ke lai wazifa

Q: Meri tabiat buht chir chiri hy. Thri si bt pe chir jati hu. Aesa lgta hy jayse me abnormal hu. Thori der bad mjhe khud hi ahsas hta hy ke mene itna gussa que kia. Is waja se me buht depressed bhi rehti hu. Ye kis waja se hy aur is ke lye koi wazifa batayen. Meri umr 23 hy aur m unmaried hu.

Khwaab ki ta'beer

Q: Muje koi kaam pesh aya tha jis ke liay mene istikhara ki niyyat ki. Mene dua e istikhada ke bad Allah Paak se yehi dua ki thi ke ya Allah kia ye kaam hoga ya nahi? Me khwab dekhti hun ke me ek bht bare hujoom ke saath hun aur hum kahin jaa rahe hyn. Muje bohot protocol dia ja raha tha aur me kisi bari shakhsiat ke sath un ke aleeshaan gari me bethi thi. Bara e meherbani aagr is khwab ke bare me meri islah kar dyn.