Namaaz

Jamaat khana me doosri jamat karna

Q: Aaj salatul eshah k waqt jab mey masjid dakhil howa tu dusri jamaat jari thi jo me shamil hogia. Ye shopping mall building hai. Jamaat k khatam hotahi eh bhai ney immat karaney waley bh ko kafi dantna shoru kerdia. Aakhr apney dusri jamaat koi karai jo k meney apko mana kia tha. Ye ghair sharee hai yeha dusri jamaat nahi karai jasakti hai. 

Namaz ke liye nahi uth sake

Q: Maine Hayaatus Sahaabah (3 edition) me padha hai jiska mafhoom yeh hai ke ek martaba Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Sahaabah se poocha ke aj kaun paheredaari karege to Hz. Abdullah ibn Masood radhiyallahu anhu ne kaha "Mai, Mai" Nabi sallallahu alaihi wasallam ne kaha "Tum, Tum" phir farmaya theek tum karoge. Yeh Sahaabi ko raat ke aaqir hisse me neend aagayi aur sab so gaye. Sahaabah farmate hai ke hum jab uthe jab suraj ki garmi humare jism par lagne lagi. Phir Huzoor sallallahu alaihi wasallam uthke farmaye ke yeh Allah Ta'ala ke marzi se hua. Phir sab farigh hue aur phir Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne jamaat se namaz padhaye.

1. Kya yeh humaare liye theek hai ke namaz ki niyath se soye aur phir uth nahi sake aur uthne ke baad jamaat banaley agar jamaat ho tho.

2. Kya yeh mamla/masla sirf safar tak mahdood hai ya agar koi apne ghar par ho aur uth nahi sake tho kya woh dohrane par uske zimme namaz qaza karne ka gunah nahi padhta agarche uski niyath uthkar padhne ke thi masjid me jamaat se aur woh nahi uthsaka.

3. Agar is oopar ke dono sawal me ghar ho bahar safar ho ya nahi tab bhi kya hum jamaat bana sakthe ya aisi soorath me infiradi padhna namaz.

Namaazi ke saamne guzarna

Q: Agar koi masjid mai namaz padh raha hai, kya eik saff chod kar ham uske aagai se nikal sakte hai, aur agar nahi nikal sakte to eik masla aata hai ki agar farz namaz chal rahi hai to koi sunnat padh raha hai to mjhe koi raasta nhi saff mai janai ko siwaye uske aagai se nikalne ke, to kya karain?