Namaaz

Takbeer-e-Oola

Q:

1. Ayk shaks wudhu banaraha tha namaaz khari hogayi aur imaam ne qiraat shuru kardi he jab imaam alhamdu parke aayat paraha tha wo shaks darmiyaane qiraat bajamaat namaaz me shamil hojata he to kya use takbeere oola milgai he aur uska sawaab milega?

2. Ya takbeere oola jab imaam "ALLAHU AKBAR" kahe namaaz keliye or wo shaks peeche mujood ho us waqt sirf sawaab milega?

Jamaat ke saat namaaz parhna

Q: Aغk shaks namaaz bohot khushu or khudu ke sath ada karta he dil aur dimaag allah ka soch ke rota bi he sajdo me allah keliye lekin uski esha ki jamaat rowzaana nikal jaati he kaam aur preshaaniyo ki wajah se to wo shaks ghar me ada karleta he namaz to kya uski namaaz khushu wa khudhu hone ki waja se musjid ke imaam saheb se ziyaada sawaab aur tarjeeh waali hogi kyun ke wo shaks dekta he musjide ke imaam saheb namaaz me rota nahi bus namaaz parhadeta he aur ghalatiya karta he kabi kabi.