Namaaz

Qadha namaaz

Q: Falaa shaks ki bhoht qaza namaze rehgayi he and wo poori ada karne ka waqt nahi he uske paas kyu ke kaam aur aaj kal ki areshaaniyo me to bataye namaaz ka kaffaara he koi? Mene suna he jeyse fitra zakaat dete he ayse qaza namazo ka fitra bhi deskte he jisse qaza namaze maaf hojati he?

Masbooq Surah Faatihah ke ba'd Surah bi parhega?

Q: Ayk fard zohar ya esha ki namaaz me teen ya chaar rakat me Imam ke sath shamil hota he phir salaam pe wo dobaara khara hojata he namaaz mukammal karne ke liye to kya use baaqi doosri, teesri aur choti rakat me jo wo khud parhega to kya usko alhamdu ke bad aayat parhna hogi ya nahi doosri, teesri aur choti me? Kyun ke fardh me do rakaat me aayat parhi jaati he phir aap sirf alhamd padke ruku me chale jaate he.

Namaaz me shubuhaat

Q: Me jab bhi namaaz parhti hun koi sunnat fardh ya nafil mujhe har ayk me kisi na kisi cheez ke reh jaane ka shak hota kabhi sajda ka ke ayk kya he kabhi tashhud me or kabhi surah me kabhi durood me se kuch reh gaya he isi shak pe muje har ayk ke liye sajda sahw karna parta he kabhi me sajda sahw kar leti hu or kabhi nahi jab nahi karti to pareshaan rehti hu ke namaaz ho gayi ya nahi me bohat pareshaan hun. Agar karun to phir to namaz bohat lambi ho jati he jo bohat mushkil ho. Me kya karun. Baraaye meherbaani meri rehnumaai kare.

Sajda-e-sahw

Q:

1. Agar namaaz me jamaai, cheenk waghaira ya gale me kuch lag jaye in baato me teen baar subhan Allah ka waqt guzar jaye to sajda-e-sahw karna ho ga?

2. Agar namaaz me tasbeehaat me kami beshi ho jaye to sajda-e-sahw karna ho ga?

3. Agar namaaz me tashhud ya surah fatihah ki koi ayk do aayat duhra li jaye to sajda-e-sahw karna ho ga?

4. Kya sajda-e-sahw me tasbeeh ayk baar kar li jaye aur tashhud ke bad chota durood parh ke salaam pher sakte he is tarah sajda-e-sahw ho jaye ga?

5. Agar namaaz me tasbeehaat taawwuz tasmiya waghaira me ya kisi aur harf ko saheeh ada karne me atak jaye aur doosri ya teesri martba kehne par saheeh ada ho to sajda-e-sahw karna ho ga?