Namaaz

Sunnat namaaz ki niyyat

Q: Mera sawaal ye he ke sunnat-e-muakaddah or ghair muakaddah ki niyyat kya ho gi? Or ye lafz muakkadah he ya mukaddah he ye bhi bata de? Aur ayk aur sawaal he ke nafil jo zohar main parhte hain us ki niyat kya ho gi kya wo bhi wastay allah eparhe jate he ya waste sawaab ke?

Qaza namaaz

Q: Meri ammi ka inteqaal ho gaya he. Mera sawaal ye he ke kya me jo farz namaze parhti hoon uska sawab unka bhee pohncha sakti hoon? Unki bohat saari namaze qaza he. Mujhe pata he ke aulaad ada kar sakti he. Meri itni haysiyyat nahi ke me unki qaza namaze parho kyonke meri khud ki bohot saari qaza he. Aap baraaye meherbaano koi hal bata de. Kya me apni qaza chor ke unki parh sakti hoon. Yu namaze qaza huwi kyonke wo bohat beemar rehti thi apni tabiyat se pareshan aur bohot dawaaye laiti thi is wajah se rozay bhee qaza huwe. Baraaye meherbaani koi hal bata de.

Namaz, Zikr, Quran paak parhna, baara bajhte hi chowrna

Q: Mene kuch logon ko ye kerte huwe dekha he ke jub theek 12 bajte he tou woh namaaz, zikr, Quran paak parhna chordete hain halake zawal ka waqt to badalta rehta he or wo saheeh karte he kya? Aur kya din ke baara baje or raat ke baara baje to zikr, tasbeeh, namaaz, Quraan paak parhna chorde kya? Aur makruh waqt main Qur'an paak, zikr, tasbeeh to parh sakte he zabaan se ya dil me ya dekh kar zaban se ya dil se? Aur agar koi makrooh waqt me namaaz parhe ya Quran paak ka sajda qubool hoga?