Kinaayah alfaaz se talaaq foran hoti hai
Q:
1. Kinaya alfaaz se jo talaq di jati hai wo foran baain hoti hai aur tajdeed e nikaah zaroori hota hai? Kaii ulama ka kehna hai k chahay sareeh lafz se ho ya kinaya se 3 maheenay guzar jaein toh hi baain hogi warna nahi hogi.
2. Mein ek masalay se pareshan tha k kuch log kehtay thay k lafz "chor dia" sareeh hai aur kuch kehtay thay ke kinayah hai toh mein ek bohot baray Mufti Sahab se mila unho ne likh ke fatwa dia ke kinayah hai aur arbi zubaan mein tarjuma kar ke bhi bataya. Aur meine ek number pe call ki thi koi Darul Ifta thi toh wahan pata nahi kisi ne kaha k sareeh lafz hai. Mujhe kiski baat manni chahiye?