Namaaz

Tarteeb ke khilaaf namaaz parhna

Q: Kabhi kabhi namaaz parhte waqt aysa hota he ke meri tabiyat kharaab hoti he to phir me sunnat aur nawaafil chor ke farz parhti hu. Lekin baaz owqaat fardh aur witar ke bad jab tabiyat kuch achcha mahsoos hota he to kya me aakhir me sunnat ya nafil waghaira parh sakti hu? Ya phir tarteeb ke khilaaf parhne se gunaah hoga?

Namaaz ke masaail

Q: Meherbaani farma kar mujhe namaaz ki koi aysi kitaab bata de jis me namaaz ke waajibaat, sunnate aur makrooh waghaira, sub likhi ho or koi mustanad ho kyo ke net pe mujhe bhot mukhtalif mil rahe he.

Chaar rakaat namaaz me qiraat

Q: Mera taalluq hanfi firqa se he lekin mera aapse ye sawaal he ke aaj mujhe ayk ahle hadees ka mufti ne bataaya ke chaar rakaat farz me faatiha ke bad surah parhni laazmi hoti he warna namaaz jaaiz nahi hoti kya ye saheeh he? Hum pehle do farz me faatiha ka baad surah parhte he phir farz ki teesri rakat me faatiha ke baad surah nahi parhte phir aakhiri rakat me faatiha ke baad parhte he. Bataaye in me se konsi saheeh baat he?