Namaaz

Tahajjud namaaz

Q:

1. Tahajjud ki namaz ki adaegi ke liye witr (3) rakat ka tahajjud ke waqt tak keliye muakkar karna zaroori he? Is tarah ke bila tahajjud ki namaz ada hogi ya nahi?

2. Tahajjud ki namaz ka durust tareeqa or rakaate bata de.

Namaaz me surato ke tarteeb ka lihaaz rakhna

Q: Me ne chaar rakaat nafl namaaz me Surah Fatiha ke saath ek rakaat Surah Ikhlaas doosri rakaat me Surah Naas aur teesri rakaat me Surah Falaq aur akhir me Surah Kosar parhi? Kia ye theek he?

Aur chaar rakaat fardh namaaz me Surah Fatiha ke saath pehli rakaat me Surah Ikhlaas aur doosri rakaat me Surah Naas parhi aur teesri or chothi rakaat me sirf Surah Faatiha parhi? Kiya ye sab theek he? Meri namaaz theek he? Agar nahi to behtar tareeqa bata de.

Kaam ki jagah masaafat-e-safar par hona

س: میں پشاور کا رہائشی ہوں اور میری جاب سوات میں ہے۔ میں گھر سے 15 دن سے کم دنوں کی نیت کر کے نکلتا ہوں۔ سوات میں مجھے کمپنی نے رہائش دی ہے۔ مجھے یہاں ہر قسم کی سہولت ہے ۔ تو نماز میں آدھی پڑھوں گا یا پوری۔

سنتیں پڑھ سکتا ہوں کہ نہیں۔ 

Bimaar shakhs namaaz kaise parhe

Q:

1. Meri ammi jinki umar taqriban 68 saal ke he unke qabz ki wajah se letrin ki jagah zakham ho gaye he jisse unke bethne me takleef hoti he to kiya wo lete lete namaz, Quran Sharif parh sakti he?

2. Is bimari ki wajah se unka wuzu rah nahi pa raha to namaz qaza ho rahi h to kiya wo tayammum kar sakti he agar ha aur kiya tayammum me kapra se kar sakte he?

Safar ki haalat me haidh se paak hojaye to namaaz kaise parhe?

Q: Ek aurat umrah ki ihram ke niyyat se apne ghar (city A) se nikalte he haidh ki haalat me Makkah ko (city B) 30 Dec ko 200km ke fasle par. Doosre din 31 Dec Makkah (city B) me ghusul ke baad umrah ada krte he. Phir teesre din 1 Jan Jeddah (city C) se hote hue apne ghar (city A) wapis aate he raat me.

1. Ghusul ke baad se tamaam namaaze qasr aada kare ghar wapsi tak?

2. Agar haidh ki haalat me ghar se nikle or doosre shaher pohanch kar jo ke 78km se ziadah door he paaki hasil hojae to uske baad se ghar wapsi tak namaaz qasr parhne honge ya poori?

3. Agar city A se nikle or city B me paak hogae to kia city C me qasr namaz aada karne hoge or city B me poori?

4. Sawal no. 1 me agar namaze durust nahi hui or unko dohrana ho to niyyat kaise kiye jaege namaaz ke or kiya koi khas tarteeb bhi hogi namaz ke adaege ke?