Urdu Questions

Hurmat-e-musaaharah ka shubah

Q: Agr aik larka bike me aik maa or aik beti ko bike pr ly ja rha ho or larki ky pakar kr bethny ki wjah sy lazzat mily or usi doran us ki maa ny bhi pakara hwa ho lekin na hi un sy koi lazzat ka irada ho or na hi lazzat mil rhi ho to kya esi sorat me us larki sy shadi ho jaye gi?

Jaadu

Q: Kala jadu hota hai kya or agar hota hai toh usse nikalne ka or bachne ka tarika bataiye.

Waswasa

Q:

1. Mera bata muj da mizaq ker raha tha kehnay laga mama Allah Ta'ala na dunya (world) mein aik shukhs pagul pagul (abnormal) pada kia ha owr wo kon ha? mein na mizaq mein apnay batay ka nam jo ka Samiullah ha keh dea sami owr 2 ya 3 second ka bad ullah keh dea ab Shaitan waswasa dalta ha tum na nauzubillah Allah ka bary mein asa kaha ha mujay btain es sa mujay gunah to nahi houa owr mery iman owr nikah per to aser nahi houa?

2. Apnay shoher sa bat kertay houy tunz sa ya keh dea hum to bary momun hain hum kisi ko kia keh suktay hein. pleez mujay in fikroun ka bary mein btain ka in sa mery iman owr nikh per to aser nahi ho ga

Aurat ko gharelo kaam me lage rehna

Q: Meray board kay papers jab bhi hotay hain tou ghar main koi na koi bara masla hojata tou yeh esa kyn hota hai? And secondly main bht mehnat karti lekn mujhay utna acha result nhi milta jitni main chahti hun... Mera abhi HSC part 1 (first year) ka result anay wala hai isi lyay aap plz mujhay koi wazeefa ya dua btaen jis say mera result bht bht acha aae aur mera DMC (dow medical university) ya ussay achi university main admission hojae first attempt main.

Bazaar ki cheeze khana

Q: Toast biscuit ye sab khana jayez hai? Kyuki isme artificial color flavours use hote hai. Mai jab bhi bahar ki koi chiz khana chahti hoon, mujhe ajib ajib khayalat ate hai. Mujhe lagti hai sab haram hai. Allah mujhse naraz ho jayegi meri koi dua kabul nahi hogi.