Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwab dekha ke mein pakhana karne bitha hu, magar pakhana nahi lambe lambe keere nikalte hain ye dekh kar main ghabra kar khade hojata hu aur thore keere bakhi reh gaye hain nikalte nikalte aisa mehsoos karta hu iski tabeer batain..

Walidah ki laash qabr me abhi tak taaza he

Q: Kuch din pehlay mere walida ki qabar k sath aik naai qabar nikali gai issi doran mere walida ki qabar ka parda gorkan ka belcha lagnay se toot gaya jab wo parda theek kernay k leye light udhar ki tu un ka kehna thak mere walida ka kafan usi tarah hy gulab ki patian tazi mojood thi aur mere walda k payon isi tara thay jaise zinda insan k hotay hain qabar ander se sabz    nazar aa arahi thi wo kehrta hy shayed wo grass thi iss k 6 adad shahid mojood hain quran o hadit ki roshni mai batye ga kia aisa mumkin hy aur agar hy tu mujhay kia kerna chchyee

Izzat ke lia wazifa

Q: Mera masla ye hai hamare ghar wale, parosi, rishtedar yahan tak ke koi bhi bacha b ho koi b meri or meri ammi ki izzat nahi karta jis ko jab chahe hamain be izzat kar deta hai.koi hamari izzat nahi karta. Logon ki nazron me gir gaye hain hum. Please is masle k liye koi wazifa batayen or dusra ye hai k hum ne mere bhai ke rishte k liye ek jaga socha hai, mera bhai bhi wahan shadi karna chahta hai is liye please koi wazifa batayen jis se us ka rishta wahan ho jaye.