Urdu Questions

Shaikh se bay'at karna

Q: Hazarat main mureed banna tha apni ladakpan mein... mere peer is duniya se ruksat kar chuke hai... Ab main unse raabtaa qayaam karna chahata hoon. Kaise karoonga... Yeh mujhe iski rah dikhaye.... Mujhe takleefe badi hain... Main mere peer ke mathehat latina chahata hoon. Unke khalifa kaun hai main nahi jaanta. Khalifa ke tahkeek ki toh pata chala Delhi yaa Saharanpur jaakar tehkik kare... Yeh dono jagah mujhse takreeban 3 din ka train ka safar hai... Meri mali halaat kafi badhtar hai... Mujhe rah dikhaye.

Larki ki engagement ke ba'd wahaan par peghaam bhejna

Q: Masla ye ha k meri engagement phopho k ghr hue thi jo galat fehmi ki waja se toot gae. Ab meri czn ki engagement doosri jga ho gae ha. Wqt guzrny k sath sath such samny aya too ab meri phopho, un ki daughter, meri ammi or mere abu mjy force kr rae han k me dobara waheen shadi kroon phopho ki trf or meri czn ki jhan abi engagement hue ha wahaan se toor k mere sath krna chah rae han.

Me is bat pr agree nae hun q k kisi ka ghr ujaar k me apna abaad nae krna chahta. Pr ab is batt ka b drr ha k me kaheen ammi abu or phopho ka dil b dukha rha hun un ki ye batt na maan kr phopho ko ye bht gmm g lga hua ha. Abu mjy isi waja se bulana choor chuky han. Ab mjy kia krna chahiye?

Baandi rakhna

Q: Is dor me loundi rakhna jaiz hy? Kia es bary me mana kea gea tha ksi dor me Hazoor Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ki trf sy ya ksi Sahaabah k dor me? Agr koe khareed k ly ay ksi sy or kch pta nhe kon hy wo to wo gunahgar hoga ya nhe

Qasam torne ka kaffaarah

Q:

1. Maine nafal prh kr dua main Allah Paak ki kasam khai thi k ye gunaah nhi krunga aur us par pura nhi utar paa rha mushkil horha hy to is halat main kia kafara hy?

2. Aur aik bar Allah Paak ki kasam khai ya bar bar khai ho kafara aik hi dafa de skty hyn sab ka?