Urdu Questions

Mehndi lagaane ke bad wudhu karna

Q: Mujhe mehendi k bary me ye sawal pochna hai k kis tarah ki mehendi se wazo hojata hai or kis tarah ki mehendi se wazo nh hota.

Logon ka ye kehna hai k layer wali mehendi se namaz nh hoti. Ub mra sawal ye hai k jab hum mehendi lagaty hain to 3 4 din k bad wo choti choti teh ban ker ukharny lagti hai. Kia ye wo layer wali mehendi hai k jab wo 3 4 din bad mitny lagy ti is trah ukhar k mity.is se namaz nh hoti?

Or usually sab mehendi isi tarah ki hoti hain. Buhat he kam mehendi aise hoti hain jo shayad he asani ae dastiyab hon k wo layer bn k nh utarti blky bus uska color hlka hojta hai. . Bara e meherbani mujhe is bary me tafseeli jawab de den me buhat zada confuse hun.

Jamaat khana me doosri jamat karna

Q: Aaj salatul eshah k waqt jab mey masjid dakhil howa tu dusri jamaat jari thi jo me shamil hogia. Ye shopping mall building hai. Jamaat k khatam hotahi eh bhai ney immat karaney waley bh ko kafi dantna shoru kerdia. Aakhr apney dusri jamaat koi karai jo k meney apko mana kia tha. Ye ghair sharee hai yeha dusri jamaat nahi karai jasakti hai.