Urdu Questions

Ma baap kis ko kehte hai?

Q: Islam k andar maa aur baap ka matlab kiya hai? Kiya sirf wohi maa bap hai jin k zarye ap peda huwey ya wo maa baap hai jo peda honey k bad jab sy ab tak apki parwarish kari khilaya pilaya parhaya sab kuch kiya bina kisi faidy k to wo log maa baap nh huwey sirf peda karny waly ko hi bolty hai? Aur unko kiya bolegy? Phir agar wo maa baap nhi heto?

Kisi ko meeraath se mahroom karna

Q: AMere walid ny 2 marriage ki hain..meri walida bachpan ma hi foot ho gai thi jb ma 5 saal ka tha..me apny nana abu pass rehta ho 21 saal sy...nana abu ny muje parha likha ky braa kiya hai..me aony walid ky sath nae rehta jb sy meri maa foot hoi hai...jese ky mene apko btaya hai mere abu ny dusri shadi ki hai...masla ye hai ky mere abu aur dusri walida ny muje kaha hai ky muje wirasat sy hisaa nahe dy gy...un ky jonsy bachy hain sirf un logo ko hi dy gy...muje nahe mily gaa...mene apny abu ko kaha hai ky thek hai me ap logo sy hisaa nae lo ga aur na hi lraii karo ga...Is bary ma kya hukam hai?

Biwi ko "mene faisla kar diya" kehne se talaaq?

Q: Aik martaba larai jhagre ma main ne apni wife ko kaha k tm aik mnth k lie apni maa k ghr chali jao to us ne mjhe kaha k ma apni maa ko kia kahun ge k ma q aye hn to ma ne use kaha k tm un se khna k mere shohar ne mra faisla kar dia h jb k meri talaq ki niyat ni th or na he ma ne usy hamesha k lie jane ka kaha tha ma ne aik mnth k lie jane ka he kaha tha kia ye talaq k alfaz ma shumar hta h k un se khna k mre shohar ne mra faisla kr dia ha?

Dua-e-qada, dua-e-noor, dua ganjul arsh, waghairah

Q: Main kuch dua k bary main janana chati hoon k yeh dua saheeh hadees say sabet hain k nahe, dua qadah (es dua k bary main likha hota hai k yeh Hazrat Anas radhiyallahu anhu ne rewayat ki hai lakin yeh hawala nahe likha hota k yeh hadees ki konsi books say li gae hai) dua noor, dua ghanjul arsh, dua ayame bazul mukaram, dua saifi, dua mustijab, dua jameela etc. In dua main say konsi dua hadees say sabit hai?

Do ya teen talaaq dene me shaq

Q: Agar kisi ne apni biwi se 2 ya 3 dafa kaha ho ke mein tumhen talaaq deta hoon jab ke 2 dafa ka yaad hai aur 3 dafa ka confirm nahi yeh sirf khiyal hai ke maybe aisa kaha ho ga aur waisy jitni dafa bhi kaha tha us mein niyat bhi nahi hoti thi wo sirf threat ke liye kehta tha aur biwi hamesha na na please nahi bolti thi? Kya is se still meri biwi hain ya nahi?

Haidh dus din se ziyaadah hojaana

Q: Mera musla ya ha mujay haiz (menses) 7 ya 8 den atay hain lakin es bar den zeada ho gay mein na tukrebun 12 ya 13 den bad gusul ker leya owr numaz perhnay lagi owr gusul ka panjwein (5) ya chatay (6) den mein na umrah kia es doran mujay liquid ka sath hulki se bleeding kisi wequt ho jati thi kia mera umra sahi ha muj per koi gunah ya kufrah to nahi. owr mein na jo namazein owr naful kahna kabah owe musjed nubvi mein adda keay sahi hein muj per koi guna to nahi

Ad dekhne ki kamaai

Q: Aik job hai jis ma hamien computer par ad dekhny hoty hain mukhtalif kisam ky... usko dekhny ky paisy milty hain... jisy hum log online work bhi kehty hain... isma referal system hota hai matlb ky aik admi 2 logo ko add kary ga to uska referal ziada ho jay ga aur uski income bhi ziada ho jay gi... matlb jitny log wo ad kary un logo ki salary ka bhi hisaa mily ga... aisi job jaiz hai?

Aslam naam rakhna

Q: Mjhe aik acha Islami naam suggest krdain. meray betay k nam Abd Rafay h uskay chotay bhai k naam rkhna h par m chahte hn naam aesa h jo Abd Rafay se dosti mhbt krnay wala ho ta k taa umar bhaion m mhbt rhay q k naam k asar bht hota h.

Sufed discharge

Q: Mujhe basa auqaat aisa discharge nikalta hai jise ghaur se dekhne par hi maloom hota hai ke ye bahut halka sa peela hai, yaane mai agar sarsari dekhloo aur zyaada ghaur o fikr na karoo to wo safed ya transparent hi dikhta hai.

1. To mujhe is discharge ko safed shumar karna chahie ya peela?

2. Mujhe bleeding bhi hoti hai to phir chunke ye discharge bhi hota hai to phir haiz shumar kise karna chahie?