Urdu Questions

Qasam torna

Q:

1. Agr koi unmarried boy kisi ladki se pyar krta ho aur kasam khaye k uske alawa kisi se shadi ni krega pr bad me wo kisi aur se shadi krle to kya uski shadi sahi hogi?

2. Koi shakhs Allah Quran ki kasam kha kr ye bole k agr mene ye kam kiya to meri hone wali biwi mujh pr haram ho jayegi (jisse us ladke ki shadi honi h uska name lekr bole) aur wo shakhs us kam ko krleta h to kya ab uski hone wali biwi us pr haram hogai? Wo usse shadi kaise kre ab dono mamlato pr alag alag roshni daliyega

Kiya sharaabi ka paseena napaak he?

Q: Hum zuhr ki namaaz parhne ja rahe the ke raaste me ayk sharaabi jo ke bilkul nashe me dhut tha pasine me tar tha aur hamare badan se lagta huwa chala gaya uska pasina hamare badan ko lag gaya ab mujhe namaaz adaa karni thi magar kya uske lagne sey hamara kapra aur hum napaak ho gaye? Namaz ke liye dusre kapre badalna hoga ya usi kapre me baghair dhule namaaz ho jayegi? Kya ham najis ho gaye?