Khwaab
Q: Bibi ke khawb mein ladke ki Paidaeesh Dekhna.
Q: Bibi ke khawb mein ladke ki Paidaeesh Dekhna.
Q: Meri ammi ny khwab ma adha chand dekha hy iski kya tabeer hy?
Q: Meri khala ne apny kisi zarori kam ke lie istikhara kia tha pehly din unho ne dekha k khi bht saray black heel walay ladies jotey paray hoe hain, dosray din unho ne dekha k un k hath mai chicken k salan ka bowl ha aur wo is ko fridge mai rkhny ja rhi hain ,unhai koi drwaza nazar ata ha wo kholti hain to wo washroom hta hai phr jesy hi wo washroom ka darwaza bnd krny lgti hain tow unhain whi aik aur salan ka bowl nazar ata hai aur wo heran hti hai k yha kon rkh k chla gya ha salan phr jo bowl un k hath mai hta ha wo usko le k chli jati hain in khwabon ki tabeer k lihaz se jawab han mai hai ya nahin mai?
Q: Maine khawab me dekha ki mere andar do saaya hai kabhi mai diwar me chadh jaraha hu to kabhi kuch kabhi kuch aur mai bahut dara hua hu.mai apni ammi se bolna chah raha hu ki mere andar koi hai mujhe bachayie par meri awaz nahi nikal rahi hai..kabhi mai jab thik horaha hu to
achaa kam kar raha hu aur fir jab mere me wo saya sawar horaha hai to mai bura ban ja raha hu.
Q: Main khawab main dekhta hun ke mery marhom walid sahab mughy khawab main namaz ki talkeen krty hain aur khty hain beta baqaidgi sy namaz parha kro taka hazrat muhammad (SAW) tm sy kush ho jain. phr us k bad main dekhta hun rat ka wqt hai sb ghr waly soy huwy hain aur main bht zor zor ro raha hun koi bhi mery rony ki waja sy uthta nae hai. phr mughy mery aik bahi ki awaz aati hai unho ny kia kaha mughy thk sy yad nahi hai but kuch aasa kaha k q shor kr rahy ho ya ya q daramy bazi kr rahy ho shyd kuch is trha ka kuch kaha unho ny. please main bht preshan hun please mughy is khawab ki tabeer bta dain.
Q: Hazrat agar koi larki Qur'an paak par hath rakh kar kisi ghair mehram ko ye khay ka me sirf tum sa payaar karti hoo, to us ka nikaah par koi asar ho ga is ka ya nahi?
Q: Me raat ko kaam karta hu fajar namaaz ke baad ghar jata hu. Mujhe namaaz-e-istikhaara parhni he. Me kab parhu?
Q: Mene khuwab me dekha k ek sannatey ki jagah per me apni dost k sath moujood hun..bohat se saanp ird gird jaam hen ek admi unhen maar rha he or ek billi mustaqil mje jhapti ja rhi h aur me hata b rhi hun tau wo hat nhi rahi
Q: Khwab main aek ghair shaadi shuda larhki apni do chaati k darmiyan aek awr chaati dekhti ha is ki kiya tabeer hogi. Yani do breasts k beech mai aek awr breast dekhna. Fajr se pahle ka khuab hai
Q: Yhan grmi ka mosm hai ku k me ne suna hai mosam ka bhi asar prdha hai dreams pr to me khwb me boht br dekh chuki hn k hmre ghar boht skht andhi ati hai itni skht k kuch bhi nhi dikh pata even hmra ghr bhi tut jata hai like hmra door (Darwaza) or us k bd yakdam barish ho jati hai boht skht bili karakti hai or boht skht barish hoti hai .. or sirf yhi dekhti hn or khwb tut jata hai phr is ki kia taber hai plz jald se jald bta dein JazakAllah