Urdu Questions

Be asl cheeze

Q: Humari yaha ak kahawat hai ke ped aur usi ped ki fal ko ak saath khana thik nahi hai jaise ki pumpkin leaf aur pumpkin aksaath mai nahi khana chahiye. iss bare main aapka kya raai hai?

Talaaq ke ba'd biwi ko dobara rakhna

Q: Meari biwi meari bat ni manti bar bar gussa delati hai meari bhabi hai wo usy meary khelaf bharkati hai ye kro wo kro to husband qaboo ajy ga meary walid ki khidmat b ni krti meary bchy hain main talaq ni deana chahta likin bhot tang hon agr main bv ko aik bar talaq dy doun to talaq ho jay kia dubara usy sath rakh sakta hon aik bar tlaq de kr dubara rakh skta hon, nikah dubbara krna pary ga. Kitny arsy to

Khwaab ki ta'beer

Q: Main poochna chahta hon ke kal raat main ne aik khawab dekha ha ke mery abu or teeno uncle (chachu) sub bethy khana kha rahy hain to achanak sy kisi wja sy mery darmyan waly chachu jin ki abi tak shadi nai hui ha un ko mery abu shadi k liye force krty hain or dant dety hain. Itny main baqi do chachu bhi un par chillany lagty hain or darmyan waly chachu uth k room main chaly jaty hain un k pechy pechy ye teeno yani k mery abu or 2 chachu chilaty howy jaty hain or phr thori dair bad ye teeno roty howy bahir nikal aty hain main pochta hon to mjy kehty hain khud dekh lo jaa k to dekhta hon k unhon ny apny dono thumb kat liye hain or blood nikal raha ha un sy or itny main dar k me uth jata hon kindly is ki tabeer bata dain.

Khwaab ki ta'beer

Q: Kuch mahino pehle meri badi behen ka inteqal hua hai wo physically handicap thi mujhe wo khwab me dekhi aur khwab bohot he ajjeb tha maine dekha ke hum sab apne ghar ke angan me hai aur meri behen bhi waha hai aur unke uppar shaitan hai sab intezar kar rahe hai k wo kuch hazri dengi lakin achanak se wo dono haatho aur pairo se dodne lagi aur mere taraf aae jaise he maine unke sir pe haath rakh k ayatul kursi padhna chalu kiya wo ulti karne lagi aur unki aankhain roshan ho gae aur zor zor se chilane lagi iska matlab kya hai plzz mujhe btaea.

Waalid ko dee huwi jaidaad ko waapis lena

Q: Walid ne apni zindagi main jaidaad sy ek property apne 3 beto mai sy 1 ko dy di or baqi 2 beto ko bhi barabar taqseem kr dya. lekin baad main walid sahab ab keh rhy hain ek bete sy jo property di thi wo wapas do apni marzi sy dobara taqseem karenge, jab ke property apni zabani bhi keh chuky thy or documents bhi bete ke naam kr dye thy, ab bete ke apne biwi bachy bhi hain kia un ka haq maary? kia qanooni ya shara'i kisi bhi tareeqe sy baap wapis apni jaydaad lene ka haqdaar hoga?baraay mehrbani rehnumai farmaye.