Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri beti jis ki umar 19 saal ha khwab ma dekhti ha k wo collage ma mere sath ha aur wahan se achanak wo mere se alaheda ho jati ha aur sheeshy ma dekhti ha tu us k naak aur monh se khoon nikal raha ha wo ghabra k mujhy dhoondti ha but ma nhi milta, kafi dair baad wo mujhy kuch Maulvi qisam k logon k sath dekhti ha aur mujhy awaz deti ha but ma nhi sunta,beti kehti ha k jab ma sheeshy se duur hat jati hun tu khoon ruk jata ha ,mujhy ayk sahaili kehti chalo ma Dr k paas le jati hun but beti ne inkar kia k ma abbu k saath he jaaon ga, is khawab ka kia maqsad ho sakta ha, jazakAllah khair

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri walida ne khwab mai daikha k wo kisi takreeb mai gai hain wahan per paise darakht k atkay hue in ko nazar aty hain or kisi ko nazar ni aty. Phir seen badalty ha bohat sare hazar k note zameen pe pare hain wo othati hain ek to dosra nazar a jata ha is trha bohat sare hazar hazar k note milty hain. Phir seen badalta hai bohat sare safaid anday he anday dikhai dety hain. Jaga jaga tokriyan rakhi hain tokri k hata k daikhti hain to safaid anday rakhy hoty hain murghi k. Is trha bohat sare safaid anday mily or khushi mehsos hui. Ap is ki tabeer bata dein.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri biwi jo ke hamla ha or 8 mahiney me hen us ne khuwab me dekha ha ke wo aik kelay ke darakht ke pas ha jis me kafi achey kelay hen or wo khud b khati ha or dosroo ko b deti ha meharbani ker ke is ki tabeer bataden khuwab fajar ki azan se pehlay dekha ha.

Khwaab ki ta'beer

Q: Ma na dream dehka bhouth sa lions hai samany aur ma hawa sa fly kar raha hooo un sa guzar raha hoo phr us ka bd ma aur mera ek sath ek masjid ma jata hai namaz ka lia tu wo log jammat Makkah haram ke sath par raha hota hai. Metlab radio ma imam saheb tha Allah Akbar khena wala aur yae edhar jammat ma tha. Us masjid ma koi imam nae tha. Tu ma na yae dehka tu un ka sath namaz nae parhi. Phr dehka masjid ma maulana tariq jammel bayan kar raha hai aur ma sun ra raha tha bas ek dum ma aur mera ek dost tha wo Madinah city poonch gaye aur ma soochna laga yar maulana tariq jameel sa mausfa kar leta phr soocha chalo madinah ajj pora din guzaro ga kal joa ga.