Urdu Questions

Shaadi me pareshaani

Q: Aapse guzaris hai ke mera ek masla hai aur iski wajah se main abhi bahot taklif main hu.Mufti sahab main 1 ladki se pyar karta tha. wo ladki hindu (cast-mochi) thi. hum 9 years se ek dusre ke sath the. jab muje laga ki iss ladki ke sath meri jindagi achhi tarah se basar hogi to maine usse shadi ke liye pucha aur usse bol diya ke agar shadi karni ho to tumhe islam kabul karna padega, Namaj, Roza, Quraan ki tilawat sab karna padega aur wo ladki razi ho gai islam kabool karne ke liye. Iske liye maine use 1 saal ka waqt diya tha acchi tarah sochne ke liye fir bhi usne Ha bola aur wo islaam qabool karke sab kuch karne ko taiyaar ho gai. fir maine apne ammi ko bola aur ammi ne mere mamu se baat ki. mere maamu us ladki ko milne aaye aur apne islam main aur ghar ke mahol se rubaru karvaya aur ladki ne sab baat ko qabool kiya. maine us ladki ka photo apne gharwalo ko dikhaya tha aur mere ammi aur abbu uske sath phone par baat bhi karte the. mere gharwalo ke kehne se maine usse court main shadi kar li kyuki koi jagada na ho aur agar ho to marriage certificate sab ko dikhane ke liye. fir maamu ke ghar ja kar nikkah padhna baki tha. jab nikkah ke liye jana tha uske 4 roj pehle wo ladki hamare ghar aayi aur mere abbu ne usse dekhi. dekh kar tabhi bol diya ke ye ladki ki body thik nahi hai. tu divorce le. aur kaha ki ye ladki hindu main mochi cast ki hai to iske sath nikkah nahi ho sakta. maine apne gharwalo ko bahot samjaya par wo Na mane aur hamare divorce karva diye. Muje bola gaya ke ye ladki islaam qabool nahi kar sakti aisa hamare nabi aap S.A.W ne farmaya hai. iski namaj bhi qabool nahi hogi. to kya ye bat sahi hai? hindu main mochi cast ki ladki agar Islaam qabool karne ko taiyar hai to wo chah kar bhi qabool nahi kar sakti? bas ladki ko dekh kar bol diya ke ye in future main baccha bhi paida nahi kar sakegi kyuki ladki thodi dubali patli thi. muje bataya gaya tha ki koi non-muslim islaam qabool kare to wo musalmaan ho jata hai fir wo kaun tha wo nahi dekha jata. ab mere gharwale meri mangani kahi aur karva ne ki baat kar rahe hai par mera dil gawara nahi karta hai. agar maine mangani ya shadi kari to bhi main sacche dil se us ladki ko nahi apna sakunga. main kya karu? muje kuch samaj nahi aa raha hai. mere gharwalo ne jo kiya wo sahi tha? wo ladki islaam qabool nahi kar sakti thi? muje talaak nahi lena tha fir bhi majburi main muje talak lena pada. aur ab majburan kisi aur ladki ke sath mangani karni pad rahi hai. aap se guzarish hai aap jald se jald muje jawab dijiyega.

Mustamal paani ke cheenten

Q:

Wudhu or ghusal karte waqt paani ma cheenten parjaye to kiya us paani se wudhu nahi hota? Agar nahi to kia kiya jaye jab tak wudhu aur ghusal khatam na ho ihtiyaat ke bawajood bhi cheenten parte rehte he kitni dafa banda us paani ko baha ke paak karay? Kuch btaaye.

Namaaz me hansi ko roktay huwe moo band rakhe or moo me hi thori si awaaz paida ho hansi dabate huwe to bhi namaaz tot jaye gi?

Khwaab ki ta'beer

Q: Ma apni dost k khawb k bary ma Jana chati hu WO aik e khawb bar bar dakhti h k us ka dant toot gya ha samny wala es ka kya mtlb ha or ma dakhti hu k mary pachy koi para hota ha or ma baag rai hoti hu chup ti hu darti hu plz 2no khawb ki tabeer bata dye

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwab me dekha ki main sheeshe ke samne khadi hu or or usse todne ki soch rhi hu ki iss ki jagah dusra lga du  or fr mere touch krte hee sheesha khud Tut ne lg gya jagah jagah Se fr sheeshe ke bilkul beech me bda sa crack ho gya

Khwaab ki ta'beer

Q: Assalamu alaikum. Mery ami kuch din pehle hamare rishto ke liye pareshan thy jo ki hamari shadi nahi hoi hai abi tak to onho ne khwab mai chand dekhee thy jese naya chand hoty hai na vesa to iska mutlab tabeer bataye please

Khwaab ki ta'beer

Q: Asslam.o.Alikum! MUFI SB mia apni khowab ki tabeer pochna chah rha hn. mujha na 2 din ho gay hian ajib kisam ka khowab arhay hian mia na dakha ha ka jaisa mia zinda hn or apna lia ak kaber teyar ki ha wo kisi khar ka kamre mia or mara do chachu fote ho gay hian un mia say ak chachu jo pehla fote ho gaya tha wo bi mara sath hian or wo bi mara sath apni kaber teyar kr rha hian or dosray chachu ki kaber bi udr hi bani hoi ha ak saide pay ak chachu ki kaber ha dosry saide pay dosry chachu ki kaber ha or phir dakha ha ka jaisa ghandm ka bara say dhair say lakay hm kaber mia daltay hian or mia kasret say astefar kr rha hn or dua kr rha hn ka kaber mia NIBI PAK (S.W.A) KO PEHCHAN LO or phr asar ki namaz ka time hota ha to mia asar ki namaz ada krta hn or phr mara dada ji jo fote ho gay hian wo bazar say ak pani ki botal latay hian us mia kuch hota lal sa or wo botal mari phuphu ko data hian bchon ko dado phr wo jo ghandm kaber mia dali thi us ko palan krk us pay sfad chadr dal daty hian or khana doodh or pani bi r