Urdu Questions

Khwaab me sitaaro dekhna

Q: Raat mein ne khwaab dekha mein mere biwi jo hamla hai mere abu or meri ammi jo kay fot ho chuki hai. Ghar ki chhatt par baithay hai or hamay aik sitara nazr aata hai bohat kubsurat hum sub dekhtay hai phir aik or nazar aata hai phir aik jaga jhurmat mein zyada sitarey nazar aatay hai phir mujhe suraj nazar aata hai bohat chhota sa magr baqi log nahin maantay yeh suraj hai suraj jb nazar aata hai m saro kay bilkul upar hota hai es kay baad suraj mashriq ki janib aana shuru ho jata hai or bara bhi hota jata hai phir sub maan jatay hai ha yeh suraj hi hai surab aise surakh hota hai jaise khun ahista ahista suraj bohat bara ho jata hai or us maqam par aa jata hai jaise kay abhi talluu huwa ho or bohat nazdeek or bohat bara hota hai phir suraj aik dum hi kaala ho jata hai phir aik dum surakh ho jata hai aise kaafi dair chlta rehta hai phir aik dum se hi suraj kaala ho kar phatt jata hai or m shor machata hu qayamat aa gayee or neechay bhaag aata hu neechay aa kr chhup jata hu mera aik bhai mujhe neechay milta hai jisay kehta hu qayamat aa gayee suraj kay phattnay se zameen par zalzala aata hai or suraj ki raakh zameen par aa jati hai jo saans lainay se naak mein jati hai mujhe phir khyal aata hai mere abu ammi or meri biwi to upar hi reh gaye hai mein un ko lainay kay kiye jata hu to mere biwi mujhe drwazay par kharri roti huwi milti hai or kehti hai ammi es tarf bhAgti huwi gayee hai abu bhi ammi kay peechhay gaye hai mein apni biwi ko andar le aata hu or phir meri aankh khul gayee.

Neak lowgo ki suhbat me bethna

Q: Main aik khwaab ki tabeer jana chahti hu. Mai ne khuwab mai bra sa sumandar dekha tha us k andr jati hn or phr sara pani khushk krty hain or uska nechy bht gand hota pta ne kia krna hota or phr wo pani chor dety or rasty mai e hoti hn abi pani k andr bht upr sy pani girta ha zor sy.mai kehten hn wo gand b saf kr dety hum phr pani chorty wo...pr wo chor dety. bara sa samandr jaisy wo gaon mai nehr hoti shyd jis mai pressure sy pani ata upr sy wo tha but nechy sy samandr tha...or jb pani khushk howa to nechy gand tha tha..ya dono aik sath kaisa hora.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai ne khuwaab mai aik bazurg ko daikha. Ishaara se baba fareed ka tha. Do rooms mai 5 qabar mubarik the pehlay mai 3 dosray mai 2 aur har qabar k sath inhe bazurg ko daikhta ho magar akhri qabar mai us bazurg say ham kalam hota ho un k sath aik choti bachi hoti hai jo kehti hai k tum 72 ghantay bhokay raho.

Waham or waswasa

Q: Mein weham or weswasy ki mareez houn, meri zaban sa kuch alfaz bhi akhtary mein gult nikul jaty hain. Mein ne suna ha ke kufreya kulmat sa Imaamn or nikaah fased ho jata ha. Ager mujy khud kalaami ki aadat ha mein ya pochna chahti houn insaan kis tarah faisla kray ka kufreya fekra kon sa ha khas ker aik mery jasi wehmi aourt or kia ya bat sahi ha ka ourt ka kufrea fekray sa nikah fased nahi hota or frz kerain os ka mounh sa koi kufreya nikul jata ha or tejdedaiy nikah nahi kerti to kia ourut ko gunah ho ga?jasay mujy nufseaty musla ha mera allah per pukhta yaqeen ha lakin mujy akser wehum ho jata ha mein na asa keh dea wesa keh dea ab mera iman or nikah fased ho gaya ha mein tejdedy eman to bar bar kerty houn laken nikha ka kia kroun pleeèèeeez mery is muslay mein rehnmai krain mein bhutuk na jaioun allah app ko jazay khair day

Haraam taalluq

Q: Mera sawaal yeh he Main nay hamesha har chez main Nafs ko tarjeh di Main kehta tha mujhy Allah say aur Nabi Pak Saww say bht pyar ha lekin os main ikhlas nahi tha phir ek Aurat meri zindagi main aein jin kay tufail meri mohabbat main ikhlas agia aur en aurat say mera koi taluq nahi ha agar aj wo meray dil main hain tou Allah ki waja say main es aurat ko ley kar Paak sochta hon main nay enko propose kia enho nay accept kia proposal hum nay ghar bhe bat ki meri family man gai but on ki ami nahi mani. Ab asal main bat yeh ha main on say 10 saal age main chota hon aur meri study ka masla ha onko lagta tha main mbbs student hon halankey main next year start karunga Plz koi wazifa bataen koi dua bataen jin say onkay ghar waley man jaen Naseeb Allah banatey hain magar main chahta hon wo meray naseeb main hon dua bhe karta hon Main pori zindagi on kay liye rona nahi chahta Plz help me regarding this matter kukay main onko dil say nahi nikal pa raha dekhien meri soch na paak nahi ha plz koi wazifa advice dien mujhy main kia karun ab?