Urdu Questions

Susar ke karobar ki zakaat ka nikaalna susar ke intiqaal ke bad

Q: Hamare susar sahab ka ek business tha rent ki shop me sanitary k saman ka. Kuch arsa unho ne us shop me kaam kiya magr thore time k bad wo shop mere husband ko kaam krne k liye bitha dya lekin mere husband us karobar k malik nhi hain. Ab susar sahab ka inteqal hochuka hai to wo karobar warasat me shamil hogya q k mere husband ki milkyat nhi tha. Ab us karobar ki zakat ka tareeqa kar kiya hoga zakat nikalna chahty hain tareeqa kya hoga or warasat k karobar me bhi zakat wajib hai ya nhi? 

Ghusal ke waqt earrings ko hilana take ghusal hojaye

Q: Ghusl jab me karte ho tu mere jo earrings hole hai woh boht chote hai tu mai earrings ko hilati ho thoda kyu ki bina earrings ke be pani shayad waha nahi ponchta aur ma ab earrings lagati ho fir unko hela kar pani ponchane ki koshish krte ho fir ponch jata ha ya nahi? Mujhe shak rehta hai aur ma khud ko napaak samjte ho fir.  Me kya karon kya mera ghusl hojata ha ya nahi?

Shirkat me har shareek ka hissah ka muta`ayyan kar liya jaaye

Q: Mera karobar gold ka hai aur mein haram halal ka bohot khayal rakh kar kam kar raha hun. 2 months pehle mere dost ne mujhe khuch raqam di ur mujh se gold mangwaya. Aur wo us ne mujhe dia k is se karobar karo lain dain karo aur jo munafa aye uska 50% mujhe de do. Meine us se gold lia aur karobar kiye beghair us ko andazan khuch munafa usko 1 bar bheja hai. Dusre month mujhe ehaas hua k kahin ye sood na ho. Mujh pr haram bilkul nae chalta Allhumdullilah. Dusre month usko meine kaha k meine karobar is month nae kiya is liye pese nae aye. Kyun k uski khuch raqam mujh se istaimal ho gyi thi. Ab aap mujhe ye batain k ye najaiz hai andazan karobar kiye bghair munafa dena ya is ka mein ab kya karun?

Credit card charges interest me shumaar hoga

Q: Me Qatar me job pe hon. Me aik bank ka credit card use kar raha hon. Me interest lagne se pehle pehle saray dues de deta hon islye koi interest nahi lagta.

Ab mera sawal ye hai k agar me saal me 30 hazar riyal credit card se kharch na karon tu uspe 500 riyals charges per year dena hoga. To kiya ye per year 500 riyals b interest me shumar hoga ya nahi? Aur ispe interest ka gunah milega?

Na beena ke liye brail Quraan parhna

س: (استفتاء متعلق بریل قرآن ،رسم عثمانی اور اعراب) علماء کرام و مفتیان عظام سے درخواست ہے کہ مندرجہ ذیل سوالات کے جوابات عنایت فرمائیں۔ (بریل رسم الخط میں قرآن مجید کی طباعت)

سوال (۱) نابینا لوگوں کے لئے بریل رسم میں قرآن کریم تیار کرنا جائز ہے یا نہیں؟ (رسم عثمانی)

سوال (۲) بریل قرآن مجید میں مکمل رسم عثمانی کی اتباع لازم وضروری ہے یا تخفیف کی بھی گنجائش ہوسکتی ہے جبکہ بر یل قرآن میں مکمل رسم عثمانی کی اتباع بآسانی ہو سکتی ہے۔ مکمل رسم عثمانی کی اتباع میں زیادہ سے زیادہ کچھ ہی صفحات کا اضافہ ہو سکتا ہے؟مختلف بریل مصاحف میں موجود حذف و تبدیل کی