Urdu Questions

Dost ko mushkilaat me chorna

Q: Ek dost ke doosre dost par kiya huqooq he? aaj kal aisa ho raha he ke hum dosti ke daway karte he aur yeh bhi kehte he ke mushkil me kisi ko akela nahi chorenge lekin jab aise halaat aati he to hum us waqt us dost ke liye hazir nahi hote. To is waqt dost ko akela chorne ki bhi saza he? Aur aisa bhi hora ha he ke hum dosti karte he aur phir ek doosre se contact me nahi rahte us ke halaat se bakhabar nahi hote. Kiya yeh bhi galat he?

Meeraath ki taqseem

Q: Hum 3 bhai he aur 2 behne he. Meri walida zinda he aur walid saheb intiqal kar gaye he 10 saal pehle. Mera sawaal yeh he ke agar hamaari property he 1000000 (1 caror) ki to wo kis hisab se taqseem hoge?

Doosra shohar ka hissa waalida ke intiqaal ke bad

Q: Mere walid sahib ka intqal 1982 me huwa. Unho ne apni warasat me ek makaan diya. Meray walid me se hum 2 bhai aur 2 behne he. Makan ki maliyat 1 caror he (approximately). Meri walida nay 1995 me doosri shadi kar li aur doosre shohar me se ek beta or ek beti he. Ab walida ka intiqal ho gaya he. Ab us makan ka batwara kis tarah ho ga? Kiya in ke doosre shohar ke hisse me kuch aaye ga ya nahi?

Muqtadi bhool se ayk aur rakaat poori kare

س: چار رکعت والی فرض نماز میں اگر مقتدی پہلی رکعت سے شامل رہا لیکن وہ بھول گیا اور سمجھا کہ میری ایک رکعت چھوٹ گئی ہے اور امام کے نماز پوری کرنے کے بعد ایک رکعت پوری کر کے نماز کو پورا کیا اور سجدہ سہو بھی نہیں کیا تو کیا اسکی نماز ہو جائیگی؟