Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri mother in-law kuch dino sey khwab mey haar roz unki rishtey daro mey jo logoki inteqal ho chuky hay wo logo uo dekh rahey hay. Yeh khwaab unhoney haar roz dekh rahey hay. Please iska tabeer bataye.

Azaab

Q: Allah Ta'ala ne bohot si qumhoon per mukhtlif qisim ke azab bhejy kisi pr hava chalai kisi pr pathar barsy kisi per zazla bheja and waghira. Allah Ta'ala kisi muslman per ye azab bhi bhej sakta ha ke aik muslman sari zindgi namaz perhta rhy rozy rakhta rhy lakin us sy koi asa gunaha zindgi main sarzad ho gya ho ke Allah Ta'ala us gunaah ki waja se usy marty wakt usy halat e kufr main moat de dain?

Khwaab ki ta'beer

Q: Aap ki bohot meherbaani hogi agar aap mujhy meray khawab ka matlab batadain. Mujhy kafi dafa muktalif tareeko say ak he khawab aaraha hai woh hai meray niakh ka kaheen per mujhy mubarak mil rai hoti hai or kaheen tayari horai hoti hai. Ak larka hai jo 3 4 saaloun say meray peechay hai har dafa main usko nai bol dayti houn or 2 3 khawaboun main woh bhi aya hai meray khawab main kal khawab main woh meray saath tha or ushe ke saath mera nikah tha or tayari horai thi.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine raat khwaab dekha ke main Niakh kar raha hu, lekin mujhe dulhan ka naam pata nahi hai aur na maine uski soorat dekhi hai. Bas maine Nikaah qubool kiya hai sirf ek bar. Kya aap mujhe iski tabeer batayenge meherbaani hogi.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mene khwaab dekha ke me aik ground me football khel raha hun. Ball meri tarf ata hai pr me us ko pakarna nahi chahta. Lekin wo khud ghoom kar meri tangon me aa jata hai jis ke bad me us le kr goal ki tarf bhot tezi se bhagta hun. Phir raasty me hand ball ho jata hai aur sath hi aik awaz ati hai ke goal barabar ho gye is ke sath hi me ap ko bta dun k me kisi ko pasand krta tha jo mje nahe mili. Agr meri nazar sy dekha jaye to ye football usi ki alamat hai.