Urdu Questions

Hijaamah

Q:

1. Hijama month ki kon kon se tareekh ko karaaya jaata he?

2. Sunnat ke kitne cupping points he aur kaha kaha?

Billi se acha ya buri nishaani lena

Q: Me ne bachpan se ab tak bohot billia paali he magar kuch time se ghar ke halaat bohot kharab chal rahe he to koi bhi billi ghar me nahi tikti thi bhaag jaati thi ya apne aap mar jaati thi ya ghar chor ke dusre ke ghar rehne chali jati thi. Abhi 2 mahine pehle bhi ek billi ka bacha pala tha kuch din baad wo bhi bhaag gaya aur aaj achanak se wapas aagaya. Usne sab ko pehchaan bhi liya. Aap mujhe bataye ke ye ache ki nishani he ya kuch ghalat?

Behen ko zakaat dena

Q: Kiya me apni behen ko zakaat ka paisa de sakti ya fitra ya sadaqa? Woh job karti he phir us ka ek kaam he jis ke liye us se paise chahiye bohot. Me zakaat ke zariye us ki madad karna chahti hu. Kiya kar sakti hu phir us ko nahi batana ke zakaat de rahi hu ya fitra ya sadaqa.

Doctor logo ko zakaat de kar phir fees lena

Q: Me ek trust me kaam karta hu jaha logon ki ankho ka muft elaj kiya jata hu. Hum logo se zakat k paise lete he aur un ko jaise logo pe hi lagate he jo zakat deserving hote he. Ab masla ye he ke hamare seniors ne new rule nikala he. Wo kehte he ke hum log direct zakat ke paise le kar elaj kar dete he jo ke Islam me munasib nahi he. Kehte he ke ab jisko bhi zakat ke paise se elaj hoga usko zakat ke paise pehle hath me lazmi dena chahiye tha ke us ke hath tak zakat pohanch jaye. Aap please ye confirm kar de ke aisi baat Islam me he ya nahi?