Urdu Questions

Tabiyat kharab hojane ki wajah se mina me na rehna

Q: Hajj ke 5 days jo Mina me rehna zaroori hota he, agar meri walidah zameen par na soke aur uski tabiyat kharab hojaye to me 10 zil hijjah ko apni walidah ko hotel le ja sakta hu? Is me koi masla to nahi ya Mina me poore 5 days rehna zaroori he?

Aur meri ahliya ka mahram me hu. To kiya woh akeli Mina me qayam kar sakti he ya usko bhi mere sath hotel jana parega?

Adaa huwi namaazo ki qadha karna

Q: Mere baligh hone se ab tak kul namazo ki tadaad 2774 he. In me qaza bhi he. Wo adaa bhi he jo mene ilm na hone ki waja se ghalatiyo ke sath ya jaldi jaldi adaa ki. Aur wo adaa bhi he jo mene durust parhe. Lekin kissi ki bhi tadaad ka ilm nahi ke kitni qaza he kitni nuqsan aur karahat ke sath ada kin aur kitni durust adaa kin. Main iss liye kul namazain 2774 parhna chahta hu.

1. Me kul namaze kis niyat se parhu ke sab adaa ho jaye. Mere ilm ke mutabiq agar me sab me qaza ki niyyat se parhu to jo adaa namaze mene ghalatiyo ke sath ya jaldi jaldi parhi wo reh jaaye gi.

2. Mene ek mufti sahab se suna tha k qaza namaze kaam na hon beshak ziyada ho jaaye ke baaqi nafl ho jaaye gi. 

Zina ke khowf se nikaah fardh ho jaana

Q: Me intehai ziyada Islam pe parband to nhi hu lekn koshish karta hu jitna ho sake Islami taleemat par amal kar sako. Mujhe baligh huwe taqreeban 8 saal ho gaye he aur kuch arse se zina karne ke bare me zehen me khiyaalat aa rahe he. Us se bachne ke liye mene apni walida-e-muhtarma ko shadi karne ka kaha. Meri walida to maan gai lekin walid saheb nahi maan rahe. Ab mujhe smajh nahi aa raha kiya karu? Kabhi kabhi control se bahar ho jata hu.